rah aasan ho gai hogi
raah āsān ho ga.ī hogī
jaan pahchān ho ga.ī hogī
maut se tere dard-mandoñ kī
mushkil āsān ho ga.ī hogī
phir palaT kar nigah nahīñ aa.ī
tujh pe qurbān ho ga.ī hogī
terī zulfoñ ko chheḌtī thī sabā
ḳhud pareshān ho ga.ī hogī
un se bhī chhīn loge yaad apnī
jin kā īmān ho ga.ī hogī
dil kī taskīn pūchhte haiñ aap
haañ mirī jaan ho ga.ī hogī
marne vāloñ pe 'saif' hairat kyuuñ
maut āsān ho ga.ī hogī
rah aasan ho gai hogi
jaan pahchan ho gai hogi
maut se tere dard-mandon ki
mushkil aasan ho gai hogi
phir palaT kar nigah nahin aai
tujh pe qurban ho gai hogi
teri zulfon ko chheDti thi saba
KHud pareshan ho gai hogi
un se bhi chhin loge yaad apni
jin ka iman ho gai hogi
dil ki taskin puchhte hain aap
han meri jaan ho gai hogi
marne walon pe 'saif' hairat kyun
maut aasan ho gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.