mujhe dard tu ne baKHsha ye karam nahin to kya hai
mujhe dard tū ne baḳhshā ye karam nahīñ to kyā hai
mujhe apnā tū ne samjhā ye karam nahīñ to kyā hai
ye naqāb ruḳh se ulTā ye karam nahīñ to kyā hai
mirī samt tū ne dekhā ye karam nahīñ to kyā hai
tirā dard khīñch laayā tā-'ishq le ke aayā
mujhe dar pe ḳhud bulāyā ye karam nahīñ to kyā hai
jise ḳhvāhish-e-sūkūñ thī jise terī justujū thī
tū usī ke dil meñ aayā ye karam nahīñ to kyā hai
jo thā baar ik zamīñ par jo thā do-jahāñ meñ rusvā
use 'arsh par biThāyā ye karam nahīñ to kyā hai
tirī jis pe paḌ ga.ī hai ye nigāh-e-mahramāna
vahī ho gayā hai yaktā ye karam nahīñ to kyā hai
mirī hastī-e-pareshāñ mirī zindagī thī tūfāñ
use ik sukūn baḳhshā ye karam nahīñ to kyā hai
vahī ‘rāz-e-be-navā hai na thā jis kā kuchh Thikāna
use lutf se navāzā ye karam nahīñ to kyā hai
mujhe dard tu ne baKHsha ye karam nahin to kya hai
mujhe apna tu ne samjha ye karam nahin to kya hai
ye naqab ruKH se ulTa ye karam nahin to kya hai
meri samt tu ne dekha ye karam nahin to kya hai
tera dard khinch laya ta-'ishq le ke aaya
mujhe dar pe KHud bulaya ye karam nahin to kya hai
jise KHwahish-e-sukun thi jise teri justuju thi
tu usi ke dil mein aaya ye karam nahin to kya hai
jo tha bar ek zamin par jo tha do-jahan mein ruswa
use 'arsh par biThaya ye karam nahin to kya hai
teri jis pe paD gai hai ye nigah-e-mahramana
wahi ho gaya hai yakta ye karam nahin to kya hai
meri hasti-e-pareshan meri zindagi thi tufan
use ek sukun baKHsha ye karam nahin to kya hai
wahi ‘raaz-e-be-nawa hai na tha jis ka kuchh Thikana
use lutf se nawaza ye karam nahin to kya hai
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 128)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.