rahne do chup mujhe na suno majra-e-dil
rahne do chup mujhe na suno majra-e-dil
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
rahne do chup mujhe na suno mājrā-e-dil
maiñ hāl-e-dil kahūñ to abhī muñh ko aa.e dil
do lafzoñ hī meñ kah diyā sab mājrā-e-dil
ḳhāmosh ho gayā hai koī kah ke hā-e-dil
aate nahīñ haiñ sunñe meñ ab nālhā-e-dil
sunsān kyuuñ paḌī hai ye mātam-sarā-e-dil
ab ho chukī hai jurm se zaa.id sazā-e-dil
jaane do bas mu'āf bhī kar do kHatā-e-dil
har har adā butoñ kī hai qātil barā-e-dil
āḳhir koī bachā.e kyuuñ kar bachā.e dil
itnā hī koī hogā na sabr-āzmā-e-dil
sab se lagā.e tum se na koī lagā.e dil
'majzūb' tū bhī ġhair-e-ḳhudā se lagā.e dil
'ishq-e-butāñ hai banda-e-haq nā-sazā-e-dil
rahne do chup mujhe na suno majra-e-dil
main haal-e-dil kahun to abhi munh ko aae dil
do lafzon hi mein kah diya sab majra-e-dil
KHamosh ho gaya hai koi kah ke ha-e-dil
aate nahin hain sunne mein ab nalha-e-dil
sunsan kyun paDi hai ye matam-sara-e-dil
ab ho chuki hai jurm se zaid saza-e-dil
jaane do bas mu'af bhi kar do kHata-e-dil
har har ada buton ki hai qatil bara-e-dil
aaKHir koi bachae kyun kar bachae dil
itna hi koi hoga na sabr-azma-e-dil
sab se lagae tum se na koi lagae dil
'majzub' tu bhi ghair-e-KHuda se lagae dil
'ishq-e-butan hai banda-e-haq na-saza-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.