haal par mere karam ai mere maula kar de
haal par mere karam ai mire maulā kar de
yaad se apnī tū raushan mirā siina kar de
raat din maiñ tire mahbūb kā jalva dekhūñ
yā ḳhudā tū mujhe nazdīk-e-madīna kar de
merā har lamha har ek saañs 'ibādat meñ kaTe
mere allāh mujhe aisā tū banda kar de
karbalā vaale shahīdoñ kā banūñ maiñ ġhulām
dil meñ vo shauq-e-shahādat mere paidā kar de
mar miTūñ ’izzat-o-tauqīr-e-risālat ke liye
mere is 'azm kā sāmān muhayyā kar de
ahl-e-bait-e-nabavī kā maiñ rahūñ sā.l-e-dar
aur is dil ko fidā-kār-e-sahāba kar de
ye gunahgār 'rajab' hai tirā mohtāj-e-karam
lutf us par ba-tufail-e-bat.hā kar de
haal par mere karam ai mere maula kar de
yaad se apni tu raushan mera sina kar de
raat din main tere mahbub ka jalwa dekhun
ya KHuda tu mujhe nazdik-e-madina kar de
mera har lamha har ek sans 'ibaadat mein kaTe
mere allah mujhe aisa tu banda kar de
karbala wale shahidon ka banun main ghulam
dil mein wo shauq-e-shahadat mere paida kar de
mar miTun ’izzat-o-tauqir-e-risalat ke liye
mere is 'azm ka saman muhayya kar de
ahl-e-bait-e-nabawi ka main rahun sal-e-dar
aur is dil ko fida-kar-e-sahaba kar de
ye gunahgar 'rajab' hai tera mohtaj-e-karam
lutf us par ba-tufail-e-batha kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.