rakha na ab kahin ka dil-e-be-qarar ne
rakhā na ab kahīñ kā dil-e-be-qarār ne
barbād kar diyā ġham-e-be-ikHtiyār ne
dil to kabhī kā nazr kiyā jāñ-nisār ne
ik jaañ hai vo bhī aap kā sadqa utārne
is fitna-gar ko jiit liyā haar maan kar
kyā-kyā maza diyā hameñ is jiit haar ne
pahlū badal-badal ke maze dard ke liye
vo karvaTeñ dikhā.īñ dil-e-be-qarār ne
ab ḳhvāb meñ bhī diid ko āñkheñ taras ga.iiñ
be-ḳhvāb kar diyā ġham-e-shab-zinda-dār ne
vo fasl-e-gul meñ dil ko jalā kar chale ga.e
is martaba to aag lagā dī bahār ne
ḳhāmosh bhī huuñ maiñ to mujhe sun rahe haiñ vo
itnā to kar diyā mire dil kī pukār ne
sau-sau tarah kī maut se paalā paḌā hameñ
kyā-kyā karam kiyā hai tire intizār ne
duniyā-e-nutq bah ga.ī sailāb-e-ashk meñ
pūchhā jo ham se haal kisī ġham-gusār ne
nādāñ pukār us ko jo suntā hai terī baat
tū us ko chhoḌ kis ko chalā hai pukārne
'kāmil' nigāh us kī jamī jis pe jam ga.ī
chāhā jise pasand kiyā chashm-e-yār ne
rakha na ab kahin ka dil-e-be-qarar ne
barbaad kar diya gham-e-be-ikHtiyar ne
dil to kabhi ka nazr kiya jaan-nisar ne
ek jaan hai wo bhi aap ka sadqa utarne
is fitna-gar ko jit liya haar man kar
kya-kya maza diya hamein is jit haar ne
pahlu badal-badal ke maze dard ke liye
wo karwaTen dikhain dil-e-be-qarar ne
ab KHwab mein bhi did ko aankhen taras gain
be-KHwab kar diya gham-e-shab-zinda-dar ne
wo fasl-e-gul mein dil ko jala kar chale gae
is martaba to aag laga di bahaar ne
KHamosh bhi hun main to mujhe sun rahe hain wo
itna to kar diya mere dil ki pukar ne
sau-sau tarah ki maut se pala paDa hamein
kya-kya karam kiya hai tere intizar ne
duniya-e-nutq bah gai sailab-e-ashk mein
puchha jo hum se haal kisi gham-gusar ne
nadan pukar us ko jo sunta hai teri baat
tu us ko chhoD kis ko chala hai pukarne
'kaamil' nigah us ki jami jis pe jam gai
chaha jise pasand kiya chashm-e-yar ne
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 266)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.