raqam paida kya kya turfa-e-bismillah ki mad ka
raqam paida kya kya turfa-e-bismillah ki mad ka
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
raqam paidā kiyā kyā turfa-e-bismillah kī mad kā
sar-e-dīvān likhā hai maiñ ne matla'-e-nā't ahmad kā
tulū'-e-raushnī jaise nishāñ ho shah kī aamad kā
zuhūr-e-haq kī hujjat hai jahāñ meñ nūr-e-ahmad kā
dabistān-e-azal meñ vo mu'allim 'aql-e-kul kā thā
na thā nām-o-nishāñ jin rozoñ us lauh-e-zabarjad kā
chaman-pairā-e-kun farrāsh us kī bazm-e-rañgīñ meñ
bahār-e-āfrīnash ek buuTā us kī masnad kā
'ajam meñ zalzala nau-shervāñ ke qasr meñ aayā
'arab meñ ġhul huā jis vaqt us kī aamad aamad kā
sharf hāsil huā aadam aur ibrāhīm ko us se
na tanhā faḳhr-e-'ālam faḳhr thā apne ab-o-jad kā
shab-o-roz un ke sāhab-zādo.on kā gahvāra-e-jumbāñ thā
'ajab Dhab yaad thā rūh-ul-amīñ ko bhī ḳhushāmad kā
vo is 'ālam meñ raunaq-bakHsh thā hūroñ kī taskīñ ko
gayā jannat meñ tuubā ban ke saaya us sahī qad kā
ravāñ tasnīm-o-kausar ek qatra-e-āb se us ke
karūñ kyā vasf us durr-e-yatīm-e-bahr-e-sarmad kā
shab-e-me'arāj chaḌh kar 'arsh se dam meñ utar aayā
bayyāñ us qulzum-e-mā'nī kā ho kyā jazar aur mad kā
kushāda 'uqda-e-bātin meñ kaafī nām-e-haq us ko
khulā kartā hai bin kunjī hamesha qufl-e-abjad kā
vafāt-e-zāhirī se jauhar-e-jāñ meñ na farq aayā
vo jism-e-pāk ko mahsūd thā ruuh mujarrad kā
gar af'ī ban ke jaañ nikle udhar iblīs andhā ho
milā hai qasr-e-akHzar ruuh ko us kī zamurrad kā
udhar allāh se vāsil idhar maḳhlūq se shāmil
ḳhavās us barzaḳh-e-kubrā meñ hai harf-e-mushaddad kā
na kam qadr us kī shīrāza bikhar jaa.e arakāñ ke
na afzūñ rutba-e-qurāñ mujazzā se mujallad kā
guzar vahdat se kasrat meñ na hotā zāt-e-mutlaq ko
na bantā sifar gar naqsh-e-ahad par miim ahmad kā
bharosā har kisī ko ek hisār-e-'āfiyat kā ho
mujhe nām-e-mubārak kā hai zulqarnain ko sad kā
tire pā-bos se haftum falak par manzil-e-kaivān
tire sajde meñ hashtum āsmāñ par farq farqad kā
ḳhudā bin māñge kyā kyā ne'amateñ detā hai bandoñ ko
tirā dast-e-du'ā zāmin hai jaise kul ke maqsad kā
baTe.ge jis ghaḌī 'ishrat ke sāmāñ bazm-e-jannat meñ
khulegā haal ummat ko tire in'ām-e-be-had kā
rahā kā'be meñ tere rauze ke dar par na jā paa.ī
usī andoh se hai rañg-e-tīra sañg-e-asvad kā
nishāna tā-dar-e-andāz qad kā dast-o-bāzū ho
tirī ḳhvāhish kare tīr-e-qazā ko hukm gar rad kā
lab gauhar-fishāñ hoñge jab 'arz-e-shafā'at ko
tamāsha-gāh-e-mahshar meñ takeñge nek muñh bad kā
'adū ko hashr tak inkār ho terī risālat meñ
mahal baaqī rahe allāh ke qaul-e-muaqqid kā
huā tujh sā na ho saktā hai merā hai yahī īmāñ
na mānūñ mas.ala hargiz kisī zindīq-o-murtad kā
tirī tā'rīf se merī zabāñ meñ aa.ī hai tezī
safā-hāñ tak musaḳhḳhar hogā teġh-e-muhannad kā
phaTeñge misl-e-taqvīm-e-kuhan dīvāñ hazāroñ ke
huā 'ālam meñ shohra mere ash'ār-e-mujaddid kā
huī hai himmat aalī muri me.arāj kī tālib
mayassar ho tavāf ai kaash mujh ko terī marqad kā
kabhī nazdīk jā kar āstāne par malūñ āñkheñ
kabhī gar duur baiThūñ maiñ karūñ nazāra gumbad kā
farāġh-e-dil se gar vaañ zindagī kā koī dam guzre
hasad ho khizr-o-'īsā ko mire 'aish-e-mukHallad kā
madīne kī zamīñ ke gar na laa.eq ho mirā lāsha
kisī sahrā meñ vaañ ke to'ma huuñ maiñ daam aur dad kā
tamannā hai daraḳhtoñ par tire rauze ke jā baiThe
qafas jis vaqt TuuTe tā.ir-e-rūh-e-muqayyad kā
ḳhudā muñh chuum letā hai 'shahīdī' kis mohabbat se
zabāñ par merī jis dam naam aatā hai mohammad kā
raqam paida kiya kya turfa-e-bismillah ki mad ka
sar-e-diwan likha hai main ne matla'-e-na't ahmad ka
tulu'-e-raushni jaise nishan ho shah ki aamad ka
zuhur-e-haq ki hujjat hai jahan mein nur-e-ahmad ka
dabistan-e-azal mein wo mu'allim 'aql-e-kul ka tha
na tha nam-o-nishan jin rozon us lauh-e-zabarjad ka
chaman-paira-e-kun farrash us ki bazm-e-rangin mein
bahaar-e-afrinash ek buTa us ki masnad ka
'ajam mein zalzala nau-sherwan ke qasr mein aaya
'arab mein ghul hua jis waqt us ki aamad aamad ka
sharf hasil hua aadam aur ibrahim ko us se
na tanha faKHr-e-'alam faKHr tha apne ab-o-jad ka
shab-o-roz un ke sahab-zadoon ka gahwara-e-jumban tha
'ajab Dhab yaad tha ruh-ul-amin ko bhi KHushamad ka
wo is 'alam mein raunaq-bakHsh tha huron ki taskin ko
gaya jannat mein tuba ban ke saya us sahi qad ka
rawan tasnim-o-kausar ek qatra-e-ab se us ke
karun kya wasf us durr-e-yatim-e-bahr-e-sarmad ka
shab-e-me'araj chaDh kar 'arsh se dam mein utar aaya
bayyan us qulzum-e-ma'ni ka ho kya jazar aur mad ka
kushada 'uqda-e-baatin mein kafi nam-e-haq us ko
khula karta hai bin kunji hamesha qufl-e-abjad ka
wafat-e-zahiri se jauhar-e-jaan mein na farq aaya
wo jism-e-pak ko mahsud tha ruh mujarrad ka
gar af'i ban ke jaan nikle udhar iblis andha ho
mila hai qasr-e-akHzar ruh ko us ki zamurrad ka
udhar allah se wasil idhar maKHluq se shamil
KHawas us barzaKH-e-kubra mein hai harf-e-mushaddad ka
na kam qadr us ki shiraaza bikhar jae arakan ke
na afzun rutba-e-quran mujazza se mujallad ka
guzar wahdat se kasrat mein na hota zat-e-mutlaq ko
na banta sifar gar naqsh-e-ahad par mim ahmad ka
bharosa har kisi ko ek hisar-e-'afiyat ka ho
mujhe nam-e-mubarak ka hai zulqarnain ko sad ka
tere pa-bos se haftum falak par manzil-e-kaiwan
tere sajde mein hashtum aasman par farq farqad ka
KHuda bin mange kya kya ne'amaten deta hai bandon ko
tera dast-e-du'a zamin hai jaise kul ke maqsad ka
baTege jis ghaDi 'ishrat ke saman bazm-e-jannat mein
khulega haal ummat ko tere in'am-e-be-had ka
raha ka'be mein tere rauze ke dar par na ja pai
usi andoh se hai rang-e-tira sang-e-aswad ka
nishana ta-dar-e-andaz qad ka dast-o-bazu ho
teri KHwahish kare tir-e-qaza ko hukm gar rad ka
lab gauhar-fishan honge jab 'arz-e-shafa'at ko
tamasha-gah-e-mahshar mein takenge nek munh bad ka
'adu ko hashr tak inkar ho teri risalat mein
mahal baqi rahe allah ke qaul-e-muaqqid ka
hua tujh sa na ho sakta hai mera hai yahi iman
na manun masala hargiz kisi zindiq-o-murtad ka
teri ta'rif se meri zaban mein aai hai tezi
safa-han tak musaKHKHar hoga tegh-e-muhannad ka
phaTenge misl-e-taqwim-e-kuhan diwan hazaron ke
hua 'alam mein shohra mere ash'ar-e-mujaddid ka
hui hai himmat aali muri mearaj ki talib
mayassar ho tawaf ai kash mujh ko teri marqad ka
kabhi nazdik ja kar aastane par malun aankhen
kabhi gar dur baiThun main karun nazara gumbad ka
faragh-e-dil se gar wan zindagi ka koi dam guzre
hasad ho khizr-o-'isa ko mere 'aish-e-mukHallad ka
madine ki zamin ke gar na laeq ho mera lasha
kisi sahra mein wan ke to'ma hun main dam aur dad ka
tamanna hai daraKHton par tere rauze ke ja baiThe
qafas jis waqt TuTe tair-e-ruh-e-muqayyad ka
KHuda munh chum leta hai 'shahidi' kis mohabbat se
zaban par meri jis dam nam aata hai mohammad ka
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.