kijiye lutf-o-karam ai jaan-e-man
kījiye lutf-o-karam ai jān-e-man
tā-ba-ke-jaur-o-sitam ai jān-e-man
bazm meñ ham aap kī phir aa ga.e
le ke ummīd-e-karam ai jān-e-man
aap to kar ke ta'alluq munqata.a
shaad haiñ nāshād ham ai jān-e-man
toḌ do tum ham na toḌeñge kabhī
ham ne khaa.ī hai qasam ai jān-e-man
kar lo iqrār-e-mohabbat phir zarā
haiñ bahut ġham-nāk ham ai jān-e-man
ham ne iqrār-e-mohabbat yuuñ kiyā
aap kā hogā karam ai jān-e-man
zindagī kā lutf phir aa jā.egā
ek ho jaa.eñ jo ham ai jān-e-man
ham pareshāñ-hāl haiñ barbād haiñ
kījiye kuchh to karam ai jān-e-man
aap kī aamad se ye vīrāñ kada
ban gayā bāġh-e-iram ai jān-e-man
chashm-e-mai-gūñ aap kī mad.hosh ham
kyā yahī hai jām-e-jam ai jān-e-man
phir khuleñge rāz-e-sar-basta tamām
jaan se guzre jo ham ai jān-e-man
jo bhī chāheñ dījiye ab faisla
hai sar-e-taslīm ḳham ai jān-e-man
sar ke bal jā kar gire us jā se ham
rah gayā jab ik qadam ai jān-e-man
dekh kar ye aañkh terī nīm-bāz
mast haiñ sarshār ham ai jān-e-man
ik na ik din aap ḳhud aa jā.eñge
toḌ kar apnī qasam ai jān-e-man
dekh leñ vo sāmne aatā hai kaun
sar jhukā.e sub.h-dam ai jān-e-man
jis qadar mumkin ho jald aa jā.iye
rah gayā hai vaqt kam ai jān-e-man
'ishq meñ aatā hai ik aisā maqām
jis jagah par ham na tum ai jān-e-man
tum kisī sūrat na mere ban sake
khā rahā hai ik ye ġham ai jān-e-man
sīdhe muñh tum baat bhī karte nahīñ
kyā ye khaa.ī hai qasam ai jān-e-man
kaun suntā hai sunā.eñ ham kise
apnī rūdād-e-alam ai jān-e-man
DhūñDhne se bhī nahīñ miltī ḳhabar
ho gayā huuñ aisā ġham ai jān-e-man
pūchhte ho mujh se ab kyā haal hai
pher kar nazar-e-karam ai jān-e-man
tum jahāñ chāho vahāñ chhupte phiro
DhūñDh leñge tujh ko ham ai jān-e-man
hai tamannā ab dil-e-'mushtāq' kī
zindagī guzre ba-ham ai jān-e-man
kijiye lutf-o-karam ai jaan-e-man
ta-ba-ke-jaur-o-sitam ai jaan-e-man
bazm mein hum aap ki phir aa gae
le ke ummid-e-karam ai jaan-e-man
aap to kar ke ta'alluq munqata
shad hain nashad hum ai jaan-e-man
toD do tum hum na toDenge kabhi
hum ne khai hai qasam ai jaan-e-man
kar lo iqrar-e-mohabbat phir zara
hain bahut gham-nak hum ai jaan-e-man
hum ne iqrar-e-mohabbat yun kiya
aap ka hoga karam ai jaan-e-man
zindagi ka lutf phir aa jaega
ek ho jaen jo hum ai jaan-e-man
hum pareshan-haal hain barbaad hain
kijiye kuchh to karam ai jaan-e-man
aap ki aamad se ye viran kada
ban gaya bagh-e-iram ai jaan-e-man
chashm-e-mai-gun aap ki madhosh hum
kya yahi hai jam-e-jam ai jaan-e-man
phir khulenge raaz-e-sar-basta tamam
jaan se guzre jo hum ai jaan-e-man
jo bhi chahen dijiye ab faisla
hai sar-e-taslim KHam ai jaan-e-man
sar ke bal ja kar gire us ja se hum
rah gaya jab ek qadam ai jaan-e-man
dekh kar ye aankh teri nim-baz
mast hain sarshaar hum ai jaan-e-man
ek na ek din aap KHud aa jaenge
toD kar apni qasam ai jaan-e-man
dekh len wo samne aata hai kaun
sar jhukae subh-dam ai jaan-e-man
jis qadar mumkin ho jald aa jaiye
rah gaya hai waqt kam ai jaan-e-man
'ishq mein aata hai ek aisa maqam
jis jagah par hum na tum ai jaan-e-man
tum kisi surat na mere ban sake
kha raha hai ek ye gham ai jaan-e-man
sidhe munh tum baat bhi karte nahin
kya ye khai hai qasam ai jaan-e-man
kaun sunta hai sunaen hum kise
apni rudad-e-alam ai jaan-e-man
DhunDhne se bhi nahin milti KHabar
ho gaya hun aisa gham ai jaan-e-man
puchhte ho mujh se ab kya haal hai
pher kar nazar-e-karam ai jaan-e-man
tum jahan chaho wahan chhupte phiro
DhunDh lenge tujh ko hum ai jaan-e-man
hai tamanna ab dil-e-'mushtaq' ki
zindagi guzre ba-ham ai jaan-e-man
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.