ye kahan thi meri qismat ki visal-e-yar hota

ye kahan thi meri qismat ki visal-e-yar hota
Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
ye kahāñ thī merī qismat ki visāl-e-yār hotā
merī tarah kaash unheñ bhī merā intizār hotā
ye hai mere dil kī hasrat ye hai mere dil kā armāñ
zarā mujh se hotī ulfat zarā mujh se pyaar hotā
usī intizār meñ huuñ kisī din vo din bhī hogā
tujhe aarzū ye hogī ki maiñ ham-kanār hotā
terā dil kahīñ na lagtā tujhe chain kyūñkar aatā
tū udās-udās rahtā jo tū be-qarār hotā
terī baat maan letā kabhī tujh se kuchh na kahtā
mere be-qarār dil ko jo zarā qarār hotā
yahī merī be-kalī phir merī be-kalī na hotī
jo tū dil-navāz hotā jo tū ġham-gusār hotā
kabhī apnī aañkh se vo mirā haal dekh lete
mujhe hai yaqīn un kā yahī hāl-e-zār hotā
kabhī un se jā lipaTtā kabhī un ke pāvauñ paḌtā
sar-e-rahguzar pe un kī jo mirā ġhubār hotā
tirī mehrbāniyoñ se mire kaam ban rahe haiñ
jo tū mehrbāñ na hotā maiñ zalīl-o-ḳhvār hotā
ye hai aap kī navāzish ki idhar hai aap kā ruḳh
na thī mujh meñ koī ḳhūbī jo umīd-vār hotā
tirī rahmatoñ kī vus'at sar-e-hashr dekhte hī
ye pukār uThā hai zāhid maiñ gunāh-gār hotā
ba-ḳhudā kis auj par phir ye adā namāz hotī
tire paa.e naaz par jab sar-e-ḳhāksār hotā
jo 'muīn' merā un se kisī din milāp hotā
kabhī jaan sadqe hotī kabhī dil nisār hotā
ye kahan thi meri qismat ki visal-e-yar hota
meri tarah kash unhen bhi mera intizar hota
ye hai mere dil ki hasrat ye hai mere dil ka arman
zara mujh se hoti ulfat zara mujh se pyar hota
usi intizar mein hun kisi din wo din bhi hoga
tujhe aarzu ye hogi ki main ham-kanar hota
tera dil kahin na lagta tujhe chain kyunkar aata
tu udas-udas rahta jo tu be-qarar hota
teri baat man leta kabhi tujh se kuchh na kahta
mere be-qarar dil ko jo zara qarar hota
yahi meri be-kali phir meri be-kali na hoti
jo tu dil-nawaz hota jo tu gham-gusar hota
kabhi apni aankh se wo mera haal dekh lete
mujhe hai yaqin un ka yahi haal-e-zar hota
kabhi un se ja lipaTta kabhi un ke pawaun paDta
sar-e-rahguzar pe un ki jo mera ghubar hota
teri mehrbaniyon se mere kaam ban rahe hain
jo tu mehrban na hota main zalil-o-KHwar hota
ye hai aap ki nawazish ki idhar hai aap ka ruKH
na thi mujh mein koi KHubi jo umid-war hota
teri rahmaton ki wus'at sar-e-hashr dekhte hi
ye pukar uTha hai zahid main gunah-gar hota
ba-KHuda kis auj par phir ye ada namaz hoti
tere pae naz par jab sar-e-KHaksar hota
jo 'muin' mera un se kisi din milap hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
- Book : Asrar-ul-Mushtaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.