huur par aañkh na Daale kabhī shaidā terā
sab se begāna hai ai dost shanāsā terā
shaan arfa’ hai tirī martaba aa’lā terā
tū hai yaktā koī saanī nahīñ haqqā terā
'aql kyā daḳhl kare kunh-e-haqīqat meñ terī
hausla past mirā martaba aa’lā terā
raah meñ us kī jo sābit-qadamī ho tujh se
sajda-gah jaane malak naqsh-e-kaf-e-pā terā
justujū meñ jo na dauḌeñ tirī TūTeñ vo paañv
sar vo kaT jaa.e na ho jis meñ ki saudā terā
tuuhī ne us ko banāyā hai yad-e-qudrat se
tuuhī chāhegā to bigḌegā ye putlā terā
dīd-e-lailā ke liye dīda-e-majnūñ hai zarūr
merī āñkhoñ se koī dekhe tamāshā terā
ek 'ālam ko tire naam kā hai vird ai dost
maiñ hī kuchh zikr nahīñ karatā huuñ tanhā terā
maiñ bhī dekhūñgā dikhā mujh ko tajllā-e-jamāl
maiñ bhī shā.eq huuñ sanam sūrat-e-mūsā terā
kis kī āñkhoñ se hai dā'va tujhe ham-chashmī kā
kis taraf dhyān hai o nargis-e-shahlā terā
maiñ musāfir huuñ utar jā.ūñgā paar ik dam meñ
tujh ko ai mauj mubārak rahe dariyā terā
qasd kar ke nahīñ khīñchā qalam qudrat ne
ḳhud-baḳhud ban gayā be-sāḳhta naqshā terā
chashm-o-abrū bhī agar terī sahī hotī us kī
ho chukā thā ruḳh-e-ḳhurshīd pe dhokā terā
rashk-e-bilqīs banāyā hai ḳhudā ne mujh ko
badlūñ ḳhātim se sulaimāñ ke na chhallā terā
baiThe takiya bhī lagā kar na kabhī us din se
ham faqīroñ ne liyā jab se sahārā terā
pech-o-tāb is qadar ai mauj 'abas hai tujh ko
rol devegā na motī mujhe dariyā terā
paak dāmānī meñ terī nahīñ paḌne kā ḳhalal
apne mushtāqoñ se nāhaq hai ye pardā terā
tujh se bezār ho jaatā sū-e-mulk-e-'adam
muñh na dikhlā.e ḳhudā phir mujhe duniyā terā
iḳhtiyārī nahīñ har baar bane aisī hī shakl
khiñch gayā sāne’-e-ījād se naqshā terā
be-bahā jins hai to ahl-e-jahāñ be-maqdūr
mere yūsuf na banegā yahāñ saudā terā
’āshiq-e-rū-e-parī shefta-e-hūr nahīñ
jān-e-jāñ 'rind' hai dīvāna-o-shaidā terā
hur par aankh na Dale kabhi shaida tera
sab se begana hai ai dost shanasa tera
shan arfa’ hai teri martaba aa’la tera
tu hai yakta koi sani nahin haqqa tera
'aql kya daKHl kare kunh-e-haqiqat mein teri
hausla past mera martaba aa’la tera
rah mein us ki jo sabit-qadami ho tujh se
sajda-gah jaane malak naqsh-e-kaf-e-pa tera
justuju mein jo na dauDen teri TuTen wo panw
sar wo kaT jae na ho jis mein ki sauda tera
tuhi ne us ko banaya hai yad-e-qudrat se
tuhi chahega to bigDega ye putla tera
did-e-laila ke liye dida-e-majnun hai zarur
meri aankhon se koi dekhe tamasha tera
ek 'alam ko tere nam ka hai wird ai dost
main hi kuchh zikr nahin karata hun tanha tera
main bhi dekhunga dikha mujh ko tajlla-e-jamal
main bhi shaeq hun sanam surat-e-musa tera
kis ki aankhon se hai da'wa tujhe ham-chashmi ka
kis taraf dhyan hai o nargis-e-shahla tera
main musafir hun utar jaunga par ek dam mein
tujh ko ai mauj mubarak rahe dariya tera
qasd kar ke nahin khincha qalam qudrat ne
KHud-baKHud ban gaya be-saKHta naqsha tera
chashm-o-abru bhi agar teri sahi hoti us ki
ho chuka tha ruKH-e-KHurshid pe dhoka tera
rashk-e-bilqis banaya hai KHuda ne mujh ko
badlun KHatim se sulaiman ke na chhalla tera
baiThe takiya bhi laga kar na kabhi us din se
hum faqiron ne liya jab se sahaara tera
pech-o-tab is qadar ai mauj 'abas hai tujh ko
rol dewega na moti mujhe dariya tera
pak damani mein teri nahin paDne ka KHalal
apne mushtaqon se nahaq hai ye parda tera
tujh se bezar ho jata su-e-mulk-e-'adam
munh na dikhlae KHuda phir mujhe duniya tera
iKHtiyari nahin har bar bane aisi hi shakl
khinch gaya sane’-e-ijad se naqsha tera
be-baha jins hai to ahl-e-jahan be-maqdur
mere yusuf na banega yahan sauda tera
’ashiq-e-ru-e-pari shefta-e-hur nahin
jaan-e-jaan 'rind' hai diwana-o-shaida tera
Source :
Book : Deewan-e-Rind (Pg. 01)
Author : Sayyed Mohammad Khan Rind
Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
(1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.