uThā hai parda faqat ik naqāb baaqī hai
abhī mizāj meñ kuchh kuchh hijāb baaqī hai
huā hai phir tujhe ulfat kā hausla ai dil
kū-e-sitam abhī ḳhāna-ḳharāb baaqī hai
hazār shukr chhuTe qīl-o-qāl duniyā se
faqat lahad kā savāl-o-javāb baaqī hai
abhī ḳhayāl na chhoḌūñgā 'ishq-bāzī kā
yahī haiñ valvale jab tak shabāb baaqī hai
halāl kar ke vo kahtā hai apne bismil se
taḌap le aur abhī iztirāb baaqī hai
jo tum ko aanā hai jald aa dekh luuñ sūrat
faqat dam āñkhoñ meñ misl-e-habāb baaqī hai
visāl-e-yār ho kyā be-takallufī se 'rind'
mujhe lihāz hai us ko hijāb baaqī hai
uTha hai parda faqat ek naqab baqi hai
abhi mizaj mein kuchh kuchh hijab baqi hai
hua hai phir tujhe ulfat ka hausla ai dil
ku-e-sitam abhi KHana-KHarab baqi hai
hazar shukr chhuTe qil-o-qal duniya se
faqat lahad ka sawal-o-jawab baqi hai
abhi KHayal na chhoDunga 'ishq-bazi ka
yahi hain walwale jab tak shabab baqi hai
halal kar ke wo kahta hai apne bismil se
taDap le aur abhi iztirab baqi hai
jo tum ko aana hai jald aa dekh lun surat
faqat dam aankhon mein misl-e-habab baqi hai
visal-e-yar ho kya be-takallufi se 'rind'
mujhe lihaz hai us ko hijab baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.