na satā dar pe paḌā rahne de kyā lete haiñ
aah shah-e-husn faqīroñ kī du'ā lete haiñ
mere hamrāhī mujhe chhoḌ ga.e yaañ varna
qāfila vaale to sotoñ ko jagā lete haiñ
kūcha-e-dost meñ rakh paañv adab se 'āqil
sarkash is raah meñ gardan ko jhukā lete haiñ
shor-o-shar karte ye haiñ hastī-e-do-roza par
āsmāñ ahl-e-zamīñ sar pe uThā lete haiñ
lab-ba-lab rahte haiñ jo shām-o-sahar dilbar se
zindagānī kā vahī log mazā lete haiñ
garche darvesh haiñ ye log magar chāheñ to
saltanat mol tire dar ke gadā lete haiñ
jo guzar hotā hai madfan pe hasīnoñ ke kabhī
vaañ kī ham ḳhaak ko āñkhoñ se lagā lete haiñ
na sata dar pe paDa rahne de kya lete hain
aah shah-e-husn faqiron ki du'a lete hain
mere hamrahi mujhe chhoD gae yan warna
qafila wale to soton ko jaga lete hain
kucha-e-dost mein rakh panw adab se 'aqil
sarkash is rah mein gardan ko jhuka lete hain
shor-o-shar karte ye hain hasti-e-do-roza par
aasman ahl-e-zamin sar pe uTha lete hain
lab-ba-lab rahte hain jo sham-o-sahar dilbar se
zindagani ka wahi log maza lete hain
garche darwesh hain ye log magar chahen to
saltanat mol tere dar ke gada lete hain
jo guzar hota hai madfan pe hasinon ke kabhi
wan ki hum KHak ko aankhon se laga lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.