mujh balā-nosh ko talchhaT bhī hai kaafī saaqī
bhar de chullū meñ jo ho shīshe meñ baaqī saaqī
bhar ke pilvātā nahīñ ek pyālī saaqī
saarī maiñ māñgtā huuñ detā hai aadhī saaqī
tū ne kyā ātish-e-hal-karda pilā dī saaqī
bhuun Daalā hai jigar aag lagā dī saaqī
phuul māñgūñ to pilātā hai brānḌī saaqī
karatā hai bazm-e-guzashta kī talāfī saaqī
jām-e-jam chāhiye rindoñ ko na shāhī saaqī
saltanat hai tire kūcha kī gadā.ī saaqī
jaam auroñ ko diye mujh ko pyālī saaqī
ḳhud bahakne lagā mānind-e-sharābī saaqī
kyā karūñ pī ke bhalā ek pyālī saaqī
us tunuk-zarfī kā banda nahīñ 'aadī saaqī
kab se kahtā huuñ balā-nosh meñ saaqī saaqī
aur pilvā de jo ho shīsha meñ baaqī saaqī
maraz hijr meñ mai garche muzir hai lekin
maiñ to pī jaatā huuñ allāh hai saaqī saaqī
sub.h se shaam talak haath se chhuTtā nahīñ jaam
chāhiye apnā taḳhallus kare 'jāmī' saaqī
maslahat hogī jo mahrūm rakhā mai se mujhe
fe'l hikmat se nahīñ hai tirā ḳhālī saaqī
mast kyā jāneñ kidhar dair hai kā'ba hai kahāñ
'umr saarī tirī bhaTTī meñ guzārī saaqī
masjid-o-dair-o-kalīsā kī vo raunaq na rahī
tū ne buniyād jo mai-ḳhāne kī Daalī saaqī
dekhiye sohbat-e-nā-jins nibhegī kyuuñ kar
past himmat to tabī'at mirī 'aalī saaqī
fasl-e-gul aa chukī kyā duur se dahkātā hai
mai-e-gul-rañg se bhar bhar ke gulābī saaqī
vā'izo vahī karūñgā maiñ jo fatvā degā
qibla-o-kā'ba-o-murshid mirā haadī saaqī
shīsha-o-jām-o-subū hoñge abhī chaknā-chūr
mast bahke to baḌī hogī ḳharābī saaqī
koī aafat tire mai-ḳhāne pe aa saktī hai
sab du'ā-go haiñ ye jitne haiñ sharābī saaqī
sirf lillāh bhī mai-ḳhāne meñ jaarī kar de
muqtazī ho jo tirī himmat-e-'ālī saaqī
tañg ho kar tire har baar ke dahkāne se
kos baiThe na koī riñd sharābī saaqī
jo piyegā na sharāb aaj vo mujrim hogā
kū-ba-kū kal se to kar de ye munādī saaqī
dard bhī mujh ko pilā degā tū bad-mastī meñ
sab sunā dūñgā maiñ dīvān-e-zulālī saaqī
barf pilvā ke kaleja mirā ThanDā kar de
aab añgūr ne to aag lagā dī saaqī
terā jī chāhe to pilvā de koī jām-e-sharāb
haath phailāne kā banda nahīñ 'aadī saaqī
nafas-e-garm kī tāsīr ne mai-e-sāġhar se
sho.ala-e-lafz ke mānind uḌā dī saaqī
aur to hasrateñ sab 'rind' ke dil se niklīñ
jām-e-kausar kī tamannā rahī baaqī saaqī
mujh bala-nosh ko talchhaT bhi hai kafi saqi
bhar de chullu mein jo ho shishe mein baqi saqi
bhar ke pilwata nahin ek pyali saqi
sari main mangta hun deta hai aadhi saqi
tu ne kya aatish-e-hal-karda pila di saqi
bhun Dala hai jigar aag laga di saqi
phul mangun to pilata hai branDi saqi
karata hai bazm-e-guzashta ki talafi saqi
jam-e-jam chahiye rindon ko na shahi saqi
saltanat hai tere kucha ki gadai saqi
jam auron ko diye mujh ko pyali saqi
KHud bahakne laga manind-e-sharabi saqi
kya karun pi ke bhala ek pyali saqi
us tunuk-zarfi ka banda nahin 'adi saqi
kab se kahta hun bala-nosh mein saqi saqi
aur pilwa de jo ho shisha mein baqi saqi
maraz hijr mein mai garche muzir hai lekin
main to pi jata hun allah hai saqi saqi
subh se sham talak hath se chhuTta nahin jam
chahiye apna taKHallus kare 'jami' saqi
maslahat hogi jo mahrūm rakha mai se mujhe
fe'l hikmat se nahin hai tera KHali saqi
mast kya jaanen kidhar dair hai ka'ba hai kahan
'umr sari teri bhaTTi mein guzari saqi
masjid-o-dair-o-kalisa ki wo raunaq na rahi
tu ne buniyaad jo mai-KHane ki Dali saqi
dekhiye sohbat-e-na-jins nibhegi kyun kar
past himmat to tabi'at meri 'ali saqi
fasl-e-gul aa chuki kya dur se dahkata hai
mai-e-gul-rang se bhar bhar ke gulabi saqi
wa'izo wahi karunga main jo fatwa dega
qibla-o-ka'ba-o-murshid mera hadi saqi
shisha-o-jam-o-subu honge abhi chakna-chur
mast bahke to baDi hogi KHarabi saqi
koi aafat tere mai-KHane pe aa sakti hai
sab du'a-go hain ye jitne hain sharabi saqi
sirf lillah bhi mai-KHane mein jari kar de
muqtazi ho jo teri himmat-e-'ali saqi
tang ho kar tere har bar ke dahkane se
kos baiThe na koi rind sharabi saqi
jo piyega na sharab aaj wo mujrim hoga
ku-ba-ku kal se to kar de ye munadi saqi
dard bhi mujh ko pila dega tu bad-masti mein
sab suna dunga main diwan-e-zulali saqi
barf pilwa ke kaleja mera ThanDa kar de
aab angur ne to aag laga di saqi
tera ji chahe to pilwa de koi jam-e-sharab
hath phailane ka banda nahin 'adi saqi
nafas-e-garm ki tasir ne mai-e-saghar se
shoala-e-lafz ke manind uDa di saqi
aur to hasraten sab 'rind' ke dil se niklin
jam-e-kausar ki tamanna rahi baqi saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.