ai parī yaad hai vo naaz se aanā terā
muñh ko sharmā ke doshāle meñ chhupānā terā
āñkheñ nīchī kiye sharmā.e hue muñh phere
muskurā kar vo gilaurī kā chabānā terā
saañp sā loTtā hai chhātī pe jab aatā hai yaad
bigḌī zulfoñ kā vo har baar banānā terā
jān-e-jāñ yaad hai bose ke liye vasl kī shab
minnateñ karnā mirā muñh kā chhupānā terā
ek ik chiiz ko meñ yaad kiyā karatā huuñ
kabhī choTī kabhī gardan kabhī shānā terā
minnateñ maan yaañ dargāhoñ meñ chale bāñdhe
par mayassar na huā saath sulānā terā
kahiyo ai bād-e-sabā martā hai 'āshiq terā
kūcha-e-yār meñ gar ho kabhī jaanā terā
kitnā samjhāyā samajhtā nahīñ tū o zālim
dil-e-betāb yahī hai jo satāna terā
Dāltā huuñ kisī jallād ke paale tujh ko
aaj hī kal meñ lagātā huuñ Thikānā terā
dekh kar kūche meñ apne mujhe bolā vo shoḳh
nahīñ kambaḳht kahīñ aur Thikānā terā
jab maiñ rotā huuñ to hañs kar mujhe farmāte haiñ
āñkheñ phoḌegā 'abas ashk bahānā terā
dil-e-betāb ghaḌī bhar to mujhe sone de
qahr hai roz kā rātoñ kā jagānā terā
aaj mar jaane pe raazī hai tire sar kī qasam
ho yaqīñ mujh ko agar gor pe aanā terā
dam meñ dam baaqī hai jab tak na uThā yaar se haath
'rind' dushman hai to ho saarā zamāna terā
ai pari yaad hai wo naz se aana tera
munh ko sharma ke doshaale mein chhupana tera
aankhen nichi kiye sharmae hue munh phere
muskura kar wo gilauri ka chabana tera
sanp sa loTta hai chhati pe jab aata hai yaad
bigDi zulfon ka wo har bar banana tera
jaan-e-jaan yaad hai bose ke liye wasl ki shab
minnaten karna mera munh ka chhupana tera
ek ek chiz ko mein yaad kiya karata hun
kabhi choTi kabhi gardan kabhi shana tera
minnaten man yan dargahon mein chale bandhe
par mayassar na hua sath sulana tera
kahiyo ai baad-e-saba marta hai 'ashiq tera
kucha-e-yar mein gar ho kabhi jaana tera
kitna samjhaya samajhta nahin tu o zalim
dil-e-betab yahi hai jo satana tera
Dalta hun kisi jallad ke pale tujh ko
aaj hi kal mein lagata hun Thikana tera
dekh kar kuche mein apne mujhe bola wo shoKH
nahin kambaKHt kahin aur Thikana tera
jab main rota hun to hans kar mujhe farmate hain
aankhen phoDega 'abas ashk bahana tera
dil-e-betab ghaDi bhar to mujhe sone de
qahr hai roz ka raaton ka jagana tera
aaj mar jaane pe raazi hai tere sar ki qasam
ho yaqin mujh ko agar gor pe aana tera
dam mein dam baqi hai jab tak na uTha yar se hath
'rind' dushman hai to ho sara zamana tera
Source :
- Book : Deewan-e-Rind (Pg. 16)
- Author : Sayyed Mohammad Khan Rind
-
Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
(1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.