koi ehsan na bhulega ye maulai ka
koī ehsān na bhūlegā ye maulā.ī kā
ashraf-ul-ḳhalq hī rutba hai pazīrā.ī kā
maiñ bhī sarkār ke mañgtoñ meñ ginā jaatā huuñ
ye bhī in.aam milā un se shanāsā.ī kā
sar to sajde meñ kaTā dil meñ hukūmat kar lī
martaba dekhiye karbal meñ ye maulā.ī kā
dil kī pūchheñ to koī dil meñ tamannā hī nahīñ
haal bas aap zarā pūchh leñ shaidā.ī kā
hasrat-e-dīd liye maiñ to taḌaptā huuñ magar
imtihāñ lete haiñ vo merī shakebā.ī kā
hausla aur baḌhā aur baḌhā aur baḌhā
jab kisī ġhair ne charchā kiyā rusvā.ī kā
raaz ulfat ke sabhī phail ga.e 'ālam meñ
shukriya aap kī is anjuman-ārā.ī kā
koi ehsan na bhulega ye maulai ka
ashraf-ul-KHalq hi rutba hai pazirai ka
main bhi sarkar ke mangton mein gina jata hun
ye bhi inam mila un se shanasai ka
sar to sajde mein kaTa dil mein hukumat kar li
martaba dekhiye karbal mein ye maulai ka
dil ki puchhen to koi dil mein tamanna hi nahin
haal bas aap zara puchh len shaidai ka
hasrat-e-did liye main to taDapta hun magar
imtihan lete hain wo meri shakebai ka
hausla aur baDha aur baDha aur baDha
jab kisi ghair ne charcha kiya ruswai ka
raaz ulfat ke sabhi phail gae 'alam mein
shukriya aap ki is anjuman-arai ka
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 194)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.