aap aae to KHayal-e-dil-e-nashad aaya
aap aa.e to ḳhayāl-e-dil-e-nāshād aayā
aap ne yaad dilāyā to mujhe yaad aayā
'arsh se aaj asar tā-lab-e-fariyād aayā
ek hī aah meñ kāfir ko ḳhudā yaad aayā
jaur ke saath tirā lutf bhī kuchh yaad aayā
hoñT par ban ke hañsī shikva-e-bedād aayā
aaj shab meñ koī sau baar to bijlī chamkī
aaj din meñ koī sau baar to sayyād aayā
mere dil meñ 'ajab andāz se aayā nāvak
maiñ ye samjhā koī mā'shūq parī-zād aayā
kyā kahā phir to kaho bhuul ga.e ham kis ko
sadqe us ke jo tumheñ bhuul ke yuuñ yaad aayā
fitna-e-hashr ne bhī uTh ke balā.eñ le liiñ
'ajab andāz se merā sitam-ījād aayā
san se jhoñkā koī aayā jo tirā bād-e-bahār
chauñk uTThe murġh-e-chaman nāvak-e-sayyād aayā
are qātil abhī bah jā.egā paanī ho kar
sāmne mere agar ḳhanjar-e-faulād aayā
yahī gulshan kī havā hai yahī gulshan kī bahār
kabhī sayyād kabhī nāvak-e-bedād aayā
nazar aatī haiñ kahīñ aisī bhī kāfir shakleñ
dekh kar husn-e-ḳhudā-dād ḳhudā yaad aayā
paas se nīm-nigah duur se mizhgān-e-darāz
chubhne vaale na.e nashtar liye fassād aayā
na sunā ham ne kabhī baaġh meñ aa.ī hai bahār
jo sunā bhī to sunā ham ne ki sayyād aayā
kyuuñ nigāheñ ye gaḌhī haiñ shikan dāman par
sadqe andāz hayā ke tujhe dil yaad aayā
āshiyāñ barq ko sauñpā mujhe aa.ī jo tarañg
aur maiñ uḌ ke idhar tā-kaf-e-sayyād aayā
asar aayā bhī to jaise koī fariyādī ho
haath meñ thāme hue dāman-e-fariyād aayā
dast-e-mātam liye baiThī rahī shīrīñ apne
tesha achchhā ki tire kaam to farhād aayā
aisī zid hai to unheñ kaun manā.e yā rab
vo ye machle haiñ ki koī mujhe kyuuñ yaad aayā
liye ḳhanjar kī ravānī thī har ik mauj-e-ḳhirām
aaj maqtal meñ na.ī shaan se jallād aayā
maiñ jo pahuñchā to liye uTh ke bagūloñ ne qadam
najd meñ dhuum machī qais kā ustād aayā
baḌh ke le halqa-e-āġhosh meñ ai dast-e-junoñ
beḌiyāñ kāTne kis lutf se haddād aayā
Dar ke sahrā-e-balā se jo pukārā maiñ ne
qais ne dī mujhe āvāz ki farhād aayā
sadqe hoñToñ ke jinheñ nāz-e-masīhā.ī hai
sadqe bātoñ ke jinheñ sheva-e-jallād aayā
de uThīñ ḳhuun rageñ naam jo nashtar kā liyā
rañg aisā mirī tasvīr meñ bahzād aayā
tifl-e-ashk aa ke mirī god meñ machle jo 'riyāz'
dil-e-marhūm mujhe aaj bahut yaad aayā
aap aae to KHayal-e-dil-e-nashad aaya
aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
'arsh se aaj asar ta-lab-e-fariyaad aaya
ek hi aah mein kafir ko KHuda yaad aaya
jaur ke sath tera lutf bhi kuchh yaad aaya
honT par ban ke hansi shikwa-e-bedad aaya
aaj shab mein koi sau bar to bijli chamki
aaj din mein koi sau bar to sayyaad aaya
mere dil mein 'ajab andaz se aaya nawak
main ye samjha koi ma'shuq pari-zad aaya
kya kaha phir to kaho bhul gae hum kis ko
sadqe us ke jo tumhein bhul ke yun yaad aaya
fitna-e-hashr ne bhi uTh ke balaen le lin
'ajab andaz se mera sitam-ijad aaya
san se jhonka koi aaya jo tera baad-e-bahaar
chaunk uTThe murgh-e-chaman nawak-e-sayyaad aaya
are qatil abhi bah jaega pani ho kar
samne mere agar KHanjar-e-faulad aaya
yahi gulshan ki hawa hai yahi gulshan ki bahaar
kabhi sayyaad kabhi nawak-e-bedad aaya
nazar aati hain kahin aisi bhi kafir shaklen
dekh kar husn-e-KHuda-dad KHuda yaad aaya
pas se nim-nigah dur se mizhgan-e-daraaz
chubhne wale nae nashtar liye fassad aaya
na suna hum ne kabhi bagh mein aai hai bahaar
jo suna bhi to suna hum ne ki sayyaad aaya
kyun nigahen ye gaDhi hain shikan daman par
sadqe andaz haya ke tujhe dil yaad aaya
aashiyan barq ko saunpa mujhe aai jo tarang
aur main uD ke idhar ta-kaf-e-sayyaad aaya
asar aaya bhi to jaise koi fariyaadi ho
hath mein thame hue daman-e-fariyaad aaya
dast-e-matam liye baiThi rahi shirin apne
tesha achchha ki tere kaam to farhad aaya
aisi zid hai to unhen kaun manae ya rab
wo ye machle hain ki koi mujhe kyun yaad aaya
liye KHanjar ki rawani thi har ek mauj-e-KHiram
aaj maqtal mein nai shan se jallad aaya
main jo pahuncha to liye uTh ke bagulon ne qadam
najd mein dhum machi qais ka ustad aaya
baDh ke le halqa-e-aghosh mein ai dast-e-junon
beDiyan kaTne kis lutf se haddad aaya
Dar ke sahra-e-bala se jo pukara main ne
qais ne di mujhe aawaz ki farhad aaya
sadqe honTon ke jinhen naz-e-masihai hai
sadqe baaton ke jinhen shewa-e-jallad aaya
de uThin KHun ragen nam jo nashtar ka liya
rang aisa meri taswir mein bahzad aaya
tifl-e-ashk aa ke meri god mein machle jo 'riyaz'
dil-e-marhum mujhe aaj bahut yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.