chhinTe deti hui rindon ko ghaTaen aai
chhīñTe detī huī rindoñ ko ghaTā.eñ aa.ī
paanī barsātī huiiñ ThanDī havā.eñ aa.ī
tum kisī baat pe afsos na puure utare
na jafā.eñ tumheñ aa.ī na vafā.eñ aa.ī
are o ek zamāne ke satāne vaale
hashr meñ kaam tere merī du'ā.eñ aa.ī
kyā idhar ho ke bahā hai koī dariyā-e-sharāb
jhūmtī qible se kyā mast ghaTā.eñ aa.ī
chhinTe deti hui rindon ko ghaTaen aai
pani barsati huin ThanDi hawaen aai
tum kisi baat pe afsos na pure utare
na jafaen tumhein aai na wafaen aai
are o ek zamane ke satane wale
hashr mein kaam tere meri du'aen aai
kya idhar ho ke baha hai koi dariya-e-sharab
jhumti qible se kya mast ghaTaen aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.