ruKH se parda haTa de zara saqiya bas abhi rang-e-mahfil badal jaega
ruKH se parda haTa de zara saqiya bas abhi rang-e-mahfil badal jaega
Anwar Mirzapuri
MORE BYAnwar Mirzapuri
ruḳh se parda haTā de zarā sāqiyā bas abhī rañg-e-mahfil badal jā.egā
jo hai behosh vo hosh meñ aa.egā girne vaalā jo hai vo sambhal jā.egā
tum tasallī na do sirf baiThe raho mere marne kā kuchh vaqt Tal jā.egā
kyā ye kam hai masīhā ke rahne hī se maut kā bhī irāda badal jā.egā
apne parde kā rakhnā magar kuchh bharam sāmne aanā jaanā munāsib nahīñ
ek vahshī se ye chheḌ achchhī nahīñ kyā karoge agar ye machal jā.egā
merā dāman to jal hī chukā hai magar aañch tum par bhī aa.e gavārā nahīñ
mere aañsū na poñchho ḳhudā ke liye varna dāman tumhārā bhī jal jā.egā
phuul kuchh is tarah toḌ ai bāġhbāñ shāḳh hilne na paa.e na āvāz ho
varna gulshan pe raunaq na phir aa.egī dil agar har kisī kā dahal jā.egā
log samjhe the ye inqilāb aate hī nazm-e-kohna chaman kā badal jā.egā
ye ḳhabar kis ko thī ātish-e-gul se hī tinkā-tinkā nasheman kā jal jā.egā
ik muddat huī us ko rote hue ek 'arsa huā muskurā.e hue
zabt-e-ġham kā ab aur us se va'ada na lo varna bīmār kā dam nikal jā.egā
ruKH se parda haTa de zara saqiya bas abhi rang-e-mahfil badal jaega
jo hai behosh wo hosh mein aaega girne wala jo hai wo sambhal jaega
tum tasalli na do sirf baiThe raho mere marne ka kuchh waqt Tal jaega
kya ye kam hai masiha ke rahne hi se maut ka bhi irada badal jaega
apne parde ka rakhna magar kuchh bharam samne aana jaana munasib nahin
ek wahshi se ye chheD achchhi nahin kya karoge agar ye machal jaega
mera daman to jal hi chuka hai magar aanch tum par bhi aae gawara nahin
mere aansu na ponchho KHuda ke liye warna daman tumhaara bhi jal jaega
phul kuchh is tarah toD ai baghban shaKH hilne na pae na aawaz ho
warna gulshan pe raunaq na phir aaegi dil agar har kisi ka dahal jaega
log samjhe the ye inqilab aate hi nazm-e-kohna chaman ka badal jaega
ye KHabar kis ko thi aatish-e-gul se hi tinka-tinka nasheman ka jal jaega
ek muddat hui us ko rote hue ek 'arsa hua muskurae hue
zabt-e-gham ka ab aur us se wa'ada na lo warna bimar ka dam nikal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.