rup uske nit-nae aur aaina-KHane hazar
ruup us ke nit-na.e aur ā.īna-ḳhāne hazār
mustaqil sirf ik haqīqat us ke afsāne hazār
saikḌoñ ḳhum Thokaroñ meñ aur paimāne hazār
chashm-e-sāqī kī 'ināyat hai to mai-ḳhāne hazār
husn hī se 'ishq ke bante haiñ afsāne hazār
sham' paidā ḳhud kiye letī hai parvāne hazār
har nazar par hai izāfa e'tirāf-e-'ijz meñ
fā.ida kyā haiñ agar us ke jilau-ḳhāne hazār
koī parda ho haqīqat ko chhupā saktā nahīñ
aa.e din bante rahe duniyā meñ afsāne hazār
kis ne us kī kunh paa.ī kis ko 'irfāñ par ghamanD
yuuñ to haiñ sāhib nazar aur jaane pahchāne hazār
aap se har samt āñkheñ chaar ho jaatī to haiñ
chāhe hairat hī meñ Dāleñ ā.īna-ḳhāne hazār
aap ke jalve salāmat haiñ to dekhā jā.egā
saikaḌoñ kā'be baneñge aur but-ḳhāne hazār
kyā huā terī mohabbat meñ jo 'kāmil' mar miTā
tū rahe daa.im salāmat aise dīvāne hazār
rup us ke nit-nae aur aaina-KHane hazar
mustaqil sirf ek haqiqat us ke afsane hazar
saikDon KHum Thokaron mein aur paimane hazar
chashm-e-saqi ki 'inayat hai to mai-KHane hazar
husn hi se 'ishq ke bante hain afsane hazar
sham' paida KHud kiye leti hai parwane hazar
har nazar par hai izafa e'tiraf-e-'ijz mein
faida kya hain agar us ke jilau-KHane hazar
koi parda ho haqiqat ko chhupa sakta nahin
aae din bante rahe duniya mein afsane hazar
kis ne us ki kunh pai kis ko 'irfan par ghamanD
yun to hain sahib nazar aur jaane pahchane hazar
aap se har samt aankhen chaar ho jati to hain
chahe hairat hi mein Dalen aaina-KHane hazar
aap ke jalwe salamat hain to dekha jaega
saikaDon ka'be banenge aur but-KHane hazar
kya hua teri mohabbat mein jo 'kaamil' mar miTa
tu rahe daim salamat aise diwane hazar
- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.