sādgī par us kī mar jaane kī hasrat dil meñ hai
sādgī par us kī mar jaane kī hasrat dil meñ hai
bas nahīñ chaltā ki phir ḳhanjar kaf-e-qātil meñ hai
dekhnā taqrīr kī lazzat ki jo us ne kahā
maiñ ne ye jaanā ki goyā ye bhī mere dil meñ hai
garche hai kis kis burā.ī se vale bā.īñ-hama
zikr merā mujh se behtar hai ki us mahfil meñ hai
bas hujūm-e-nā-umīdī ḳhaak meñ mil jā.egī
ye jo ik lazzat hamārī sa.ī-e-be-hāsil meñ hai
rañj-e-rah kyuuñ khīñchiye vāmāndagī ko ishq hai
uTh nahīñ saktā hamārā jo qadam manzil meñ hai
jalva zār-e-ātish-e-dozaḳh hamārā dil sahī
fitna-e-shor-e-qayāmat kis ke āb-o-gil meñ hai
hai dil-e-shorīda-e-'ġhālib' tilism-e-pech-o-tāb
rahm kar apnī tamannā par ki kis mushkil meñ hai
sādgī par us kī mar jaane kī hasrat dil meñ hai
bas nahīñ chaltā ki phir ḳhanjar kaf-e-qātil meñ hai
dekhnā taqrīr kī lazzat ki jo us ne kahā
maiñ ne ye jaanā ki goyā ye bhī mere dil meñ hai
garche hai kis kis burāī se wale bāīñ-hama
zikr merā mujh se behtar hai ki us mahfil meñ hai
bas hujūm-e-nā-umīdī ḳhak meñ mil jāegī
ye jo ek lazzat hamārī saī-e-be-hāsil meñ hai
rañj-e-rah kyuñ khīñchiye wāmāndagī ko ishq hai
uTh nahīñ saktā hamārā jo qadam manzil meñ hai
jalwa zār-e-ātish-e-dozaḳh hamārā dil sahī
fitna-e-shor-e-qayāmat kis ke āb-o-gil meñ hai
hai dil-e-shorīda-e-'ġhālib' tilism-e-pech-o-tāb
rahm kar apnī tamannā par ki kis mushkil meñ hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.