saz-e-hasti baja raha hun main
sāz-e-hastī bajā rahā huuñ maiñ
jashn-e-mastī manā rahā huuñ maiñ
kyā adā hai nisār hone kī
in se pahlū bachā rahā huuñ maiñ
kitnī puḳhta hai merī nādānī
tujh ko tujh se chhupā rahā huuñ maiñ
dil Dubotā huuñ chashm-e-sāqī meñ
mai ko mai meñ milā rahā huuñ maiñ
aap ko jītne ke dhoke meñ
jaañ kī baazī lagā rahā ho maiñ
un ko milne kī aarzū meñ 'adam'
apne nazdīk aa rahā ho maiñ
saz-e-hasti baja raha hun main
jashn-e-masti mana raha hun main
kya ada hai nisar hone ki
in se pahlu bacha raha hun main
kitni puKHta hai meri nadani
tujh ko tujh se chhupa raha hun main
dil Dubota hun chashm-e-saqi mein
mai ko mai mein mila raha hun main
aap ko jitne ke dhoke mein
jaan ki bazi laga raha ho main
un ko milne ki aarzu mein 'adam'
apne nazdik aa raha ho main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.