sab se jahan mein aala hai rutba faqir ka
sab se jahāñ meñ a.alā hai rutba faqīr kā
ye hai tufail saarā janāb-e-amīr kā
lākhoñ hī auliyā hue us ḳhāndān meñ
kyā mo.ajiza hai hazrat-e-pīrān-e-pīr kā
mushkil-kushā.ī kījiye yā pīr-e-dastgīr
tum bin jahāñ meñ koī nahīñ mujh haqīr kā
zarra ko āftāb kyā ik nigāh meñ
adnā ye hai asar mire raushan-zamīr kā
mahbūb-e-kibriyā hai vo sultān-e-auliyā
amjad 'alī hai naam mere dastgīr kā
murshid kā tere sar pe hai har vaqt sāyā-e-lutf
'sayyad' hai ḳhauf kyā tujhe roz-e-aḳhīr kā
sab se jahan mein aala hai rutba faqir ka
ye hai tufail sara janab-e-amir ka
lakhon hi auliya hue us KHandan mein
kya moajiza hai hazrat-e-piran-e-pir ka
mushkil-kushai kijiye ya pir-e-dastgir
tum bin jahan mein koi nahin mujh haqir ka
zarra ko aaftab kya ek nigah mein
adna ye hai asar mere raushan-zamir ka
mahbub-e-kibriya hai wo sultan-e-auliya
amjad 'ali hai nam mere dastgir ka
murshid ka tere sar pe hai har waqt saya-e-lutf
'sayyad' hai KHauf kya tujhe roz-e-aKHir ka
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.