dekh ke meri be-KHudi aapne kuchh kaha nahin
dekh ke merī be-ḳhudī aap ne kuchh kahā nahīñ
aap kā kyā ḳhayāl hai hosh meñ aa.uuñ yā nahīñ
hairat-e-'ām ho ga.ī jalva-e-be-panāh se
us ne naqāb uThā diyā ab koī dekhtā nahīñ
ġhairat-e-'ishq kyā karūñ shauq kī kashmakash meñ huuñ
vo hai ki pūchhte nahīñ dil hai ki māntā nahīñ
kahte haiñ dost ai 'sabā' 'ishq nahīñ junūñ hai ye
uske liye taḌapte ho jo tumheñ jāntā nahīñ
dekh ke meri be-KHudi aap ne kuchh kaha nahin
aap ka kya KHayal hai hosh mein aaun ya nahin
hairat-e-'am ho gai jalwa-e-be-panah se
us ne naqab uTha diya ab koi dekhta nahin
ghairat-e-'ishq kya karun shauq ki kashmakash mein hun
wo hai ki puchhte nahin dil hai ki manta nahin
kahte hain dost ai 'saba' 'ishq nahin junun hai ye
uske liye taDapte ho jo tumhein jaanta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.