tālib-e-jān mire pahlū meñ mirā dil niklā
jis ko maiñ dost samajhtā thā vo qātil niklā
jis jagah amn samajh kar maiñ zarā jā baiThā
merī taqdīr se vo bhī dar-e-qātil niklā
ho ga.ī qais kī ḳhud puurī tamannā us dam
jis ghaḌī najd meñ naaqa ke muqābil niklā
zulf us ne ruḳh-e-raushan se haTā dī jis dam
log samjhe ki gahan se mah-e-kāmil niklā
aaj mirrīḳh aaj kyuuñ ho na 'amal duniyā meñ
qatl ushshāq pe hai ḳhanjar-e-qātil niklā
bosa paayā hai shab-e-vasl baḌī diqqat se
kaam āsān jo thā vo bhī ba-mushkil niklā
koī ummīd rihā.ī kī na thī 'sabr' mujhe
un kī zulfoñ se muqaddar meñ jo thā dil niklā
talib-e-jaan mere pahlu mein mera dil nikla
jis ko main dost samajhta tha wo qatil nikla
jis jagah amn samajh kar main zara ja baiTha
meri taqdir se wo bhi dar-e-qatil nikla
ho gai qais ki KHud puri tamanna us dam
jis ghaDi najd mein naqa ke muqabil nikla
zulf us ne ruKH-e-raushan se haTa di jis dam
log samjhe ki gahan se mah-e-kaamil nikla
aaj mirriKH aaj kyun ho na 'amal duniya mein
qatl ushshaq pe hai KHanjar-e-qatil nikla
bosa paya hai shab-e-wasl baDi diqqat se
kaam aasan jo tha wo bhi ba-mushkil nikla
koi ummid rihai ki na thi 'sabr' mujhe
un ki zulfon se muqaddar mein jo tha dil nikla
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.