mujhko bata ai qaziya kaisa tumhaara kaam hai
mujh ko batā ai qāziyā kaisā tumhārā kaam hai
tujh ko kitāboñ kī ḳhushī mere liye mātām hai
'āshiq jalā de aag meñ saare kitāboñ ke varaq
ik naam merā yaad kar ye dost kā paiġhām hai
mujh ko to maarā hijr ne kahtā hai tū aa paḌh kitāb
ghar mire us mahbūb kī aamad kā aaj anjām hai
kyuuñ sahv kā sajda kare vo 'ishq hai jis kā imaam
dam-bhar bhulāyā dost ko na 'āshiqoñ kā kaam hai
kyā nek-nāmī hai tirī is 'ishq meñ ai be-bahr
terī jamā'at meñ tirā birahā bahut badnām hai
ākHir ye matlab pā liyā murshid ne jo ham se kahā
bin 'ishq dilbar ke ‘sachal’ kyā kufr kyā islām hai
mujh ko bata ai qaziya kaisa tumhaara kaam hai
tujh ko kitabon ki KHushi mere liye matam hai
'ashiq jala de aag mein sare kitabon ke waraq
ek nam mera yaad kar ye dost ka paigham hai
mujh ko to mara hijr ne kahta hai tu aa paDh kitab
ghar mere us mahbub ki aamad ka aaj anjam hai
kyun sahw ka sajda kare wo 'ishq hai jis ka imam
dam-bhar bhulaya dost ko na 'ashiqon ka kaam hai
kya nek-nami hai teri is 'ishq mein ai be-bahr
teri jama'at mein tera biraha bahut badnam hai
aakHir ye matlab pa liya murshid ne jo hum se kaha
bin 'ishq dilbar ke ‘sachal’ kya kufr kya islam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.