mujhe ab to saqi ne baada pilaya
mujhe ab to saaqī ne baada pilāyā
hai shukr-e-ḳhudā mast mujh ko banāyā
liyā dīn-o-īmān bātoñ hī bātoñ
'ajab naach saaqī ne mujh ko nachāyā
jo raaz mai-o-jām-o-shīshe kā maiñ ne
sunā thā so āñkhoñ se mujh ko dikhāyā
bahaktā maiñ phirtā thā jis ke sabab se
muġhāñ ne pakaḌ haath us se milāyā
kahāñ hai surāhī ye kahtā thā maiñ sū
mire paas shīsha thā mujh ko pilāyā
maiñ 'sādiq' huuñ shah-e-ḳhair mastī ne mujh ko
hañsāyā rulāyā hilāyā milāyā
mujhe ab to saqi ne baada pilaya
hai shukr-e-KHuda mast mujh ko banaya
liya din-o-iman baaton hi baaton
'ajab nach saqi ne mujh ko nachaya
jo raaz mai-o-jam-o-shishe ka main ne
suna tha so aankhon se mujh ko dikhaya
bahakta main phirta tha jis ke sabab se
mughan ne pakaD hath us se milaya
kahan hai surahi ye kahta tha main su
mere pas shisha tha mujh ko pilaya
main 'sadiq' hun shah-e-KHair masti ne mujh ko
hansaya rulaya hilaya milaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.