rashk-e-barq-e-tūr sham-e'-mahfil-e-jānāna hai
māh-e-nau TuuTā huā is bazm kā paimāna hai
kufr kā fatve lagātā hai har ik mai-ḳhvār par
’aql par patthar paḌe haiñ shaiḳh kā dīvāna hai
jaan se ’ushshāq jaate haiñ ḳhabar lete nahīñ
is jahāñ meñ koī hogā tum sā be-parvā na hai
hosh meñ aa ab na rakh sahrā-navardī se ġharaz
kuchh ḳhayāl-e-ābrū tujh ko dil-e-dīvāna hai
māh-e-tābāñ se fuzūñ hai husn meñ jis ke ziyā
us charāġh-e-bazm-e-rif’at kā ye dil parvāna hai
rakh na naḳhvat se qadam ġhāfil kar itnā to ḳhayāl
āsyā-e-charḳh ne piisā use jo daana hai
kyuuñ na uljhan meñ basar ho dosto lail-o-nahār
murġh-e-dil apnā asīr-e-gesū-e-jānāna hai
ho ke be-ḳhud nashsha-e-mai se zamīñ par gir paḌe
bas yahī rindoñ kā saaqī sajda-e-shukrāna hai
vaañ vo gul mashġhūl hai sair-e-gulistāñ meñ 'sa’īd'
yā chhalakne ko hamārī umr kā paimāna hai
rashk-e-barq-e-tur sham-e'-mahfil-e-jaanana hai
mah-e-nau TuTa hua is bazm ka paimana hai
kufr ka fatwe lagata hai har ek mai-KHwar par
’aql par patthar paDe hain shaiKH ka diwana hai
jaan se ’ushshaq jate hain KHabar lete nahin
is jahan mein koi hoga tum sa be-parwa na hai
hosh mein aa ab na rakh sahra-nawardi se gharaz
kuchh KHayal-e-abru tujh ko dil-e-diwana hai
mah-e-taban se fuzun hai husn mein jis ke ziya
us charagh-e-bazm-e-rif’at ka ye dil parwana hai
rakh na naKHwat se qadam ghafil kar itna to KHayal
aasya-e-charKH ne pisa use jo dana hai
kyun na uljhan mein basar ho dosto lail-o-nahaar
murgh-e-dil apna asir-e-gesu-e-jaanana hai
ho ke be-KHud nashsha-e-mai se zamin par gir paDe
bas yahi rindon ka saqi sajda-e-shukrana hai
wan wo gul mashghul hai sair-e-gulistan mein 'sa’id'
ya chhalakne ko hamari umr ka paimana hai
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.