jafa kar len yahan aakHir kabhi roz-e-jaza hoga
jafā kar leñ yahāñ ākHir kabhī roz-e-jazā hogā
hamārā un butoñ kā faisla pesh-e-ḳhudā hogā
mubārak ai dil-e-shaidā ki vasl-e-dil-rubā hogā
bahār-e-'aish aatī hai ġham-e-furqat huā hogā
salām is pārsā.ī ko ki dam hūroñ meñ aTkā hai
nahīñ mā'lūm ai zāhid tirā anjām kyā hogā
vo bhole-pan se nām-e-vasl par Dar-Dar ke kahte haiñ
batā do vasl kyā shai hai natīja is kā kyā hogā
mile tum ḳhvāb meñ aakar diyā paiġhām milne kā
taġhāful kī na lo kaho vā'da kab tak vafā hogā
hamārā hausla tālib nahīñ asbāb zāhir kā
vufū-e-shauq-e-vasl-e-dil-rubā hājat-ravā hogā
abhī āġhāz-e-ulfat meñ banī hai jaan par apnī
kaho anjām us kā ai ‘safīr’-e-zār kyā hogā
jafa kar len yahan aakHir kabhi roz-e-jaza hoga
hamara un buton ka faisla pesh-e-KHuda hoga
mubarak ai dil-e-shaida ki wasl-e-dil-ruba hoga
bahaar-e-'aish aati hai gham-e-furqat hua hoga
salam is parsai ko ki dam huron mein aTka hai
nahin ma'lum ai zahid tera anjam kya hoga
wo bhole-pan se nam-e-wasl par Dar-Dar ke kahte hain
bata do wasl kya shai hai natija is ka kya hoga
mile tum KHwab mein aakar diya paigham milne ka
taghaful ki na lo kaho wa'da kab tak wafa hoga
hamara hausla talib nahin asbab zahir ka
wufu-e-shauq-e-wasl-e-dil-ruba hajat-rawa hoga
abhi aaghaz-e-ulfat mein bani hai jaan par apni
kaho anjam us ka ai ‘safir’-e-zar kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.