hamare gudgudane se hansi jo un ko aati hai
hamāre gudgudāne se hañsī jo un ko aatī hai
dur-e-dandāñ chamakte haiñ ki bijlī kauñd jaatī hai
nazar vo pyaar kī terī hamārī bebasī us par
sitam kartī hai dil par qalb par chhuriyāñ chalātī hai
kashākash meñ paḌā huuñ ho ke tere vasl kā ḳhvāhāñ
tamannā jaan letī hai judā.ī qahr Dhātī hai
shab-e-vasl-e-sanam meñ to na aa.e murġh-e-sahar chalā
hamārā lutf jaatā hai tirī kyuuñ jaan jaatī hai
tarahhum ham pe karte ho magar milte nahīñ sāheb
tumhārī mehrbānī bhī hamārā dil dikhātī hai
‘safīr’-e-zār agar us yaar se tū lau lagātā hai
abhī dam-bhar meñ to terī murād-e-dil bar aatī hai
hamare gudgudane se hansi jo un ko aati hai
dur-e-dandan chamakte hain ki bijli kaund jati hai
nazar wo pyar ki teri hamari bebasi us par
sitam karti hai dil par qalb par chhuriyan chalati hai
kashakash mein paDa hun ho ke tere wasl ka KHwahan
tamanna jaan leti hai judai qahr Dhati hai
shab-e-wasl-e-sanam mein to na aae murgh-e-sahar chala
hamara lutf jata hai teri kyun jaan jati hai
tarahhum hum pe karte ho magar milte nahin saheb
tumhaari mehrbani bhi hamara dil dikhati hai
‘safir’-e-zar agar us yar se tu lau lagata hai
abhi dam-bhar mein to teri murad-e-dil bar aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.