safina mera sahil-ashna malum hota hai
safīna mirā sāhil-āshnā ma.alūm hotā hai
mujhe ye bhī fareb-e-nā-ḳhudā ma.alūm hotā hai
tire ġham kā jahāñ tak silsila ma.alūm hotā hai
vahīñ tak merī hastī kā patā ma.alūm hotā hai
na pūchho ai dost shām-e-ġham meñ kyā ma.alūm hotā hai
mujhe har dam qazā kā sāmnā ma.alūm hotā hai
ba-har-lahza ba-har-sā.at sivā ma.alūm hotā hai
tumhār ġham tabī.at-āshnā ma.alūm hotā hai
nafas kī āmad-o-shud se patā ma.alūm hotā hai
ki us parde meñ koī dūsrā ma.alūm hotā hai
ummīdeñ TūTtī haiñ Dūbtī jaatī haiñ nabz bhī
dil-e-betāb ko ārām sā ma.alūm hotā hai
usī ke dam se hai kaunain kī hañgāma ārā.ī
ba-zāhir ishq be-barg-o-navā ma.alūm hotā hai
tirī shabnam-fashāñ āñkhoñ kā aañsū tere dāman par
sitāra arsh se TuuTā huā ma.alūm hotā hai
use merā sukūn-e-dil gavārā kis tarah hogā
jise merā taḌapnā bhī burā ma.alūm hotā hai
haqīqat ye hai 'māhir' saḳht kā farzand mashrab hai
magar vo dekhne meñ pārsā ma.alūm hotā hai
safina mera sahil-ashna malum hota hai
mujhe ye bhi fareb-e-na-KHuda malum hota hai
tere gham ka jahan tak silsila malum hota hai
wahin tak meri hasti ka pata malum hota hai
na puchho ai dost sham-e-gham mein kya malum hota hai
mujhe har dam qaza ka samna malum hota hai
ba-har-lahza ba-har-saat siwa malum hota hai
tumhaar gham tabiat-ashna malum hota hai
nafas ki aamad-o-shud se pata malum hota hai
ki us parde mein koi dusra malum hota hai
ummiden TuTti hain Dubti jati hain nabz bhi
dil-e-betab ko aaram sa malum hota hai
usi ke dam se hai kaunain ki hangama aarai
ba-zahir ishq be-barg-o-nawa malum hota hai
teri shabnam-fashan aankhon ka aansu tere daman par
sitara arsh se TuTa hua malum hota hai
use mera sukun-e-dil gawara kis tarah hoga
jise mera taDapna bhi bura malum hota hai
haqiqat ye hai 'mahir' saKHt ka farzand mashrab hai
magar wo dekhne mein parsa malum hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.