Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aandhiyon aur mauj-e-tufan se guzar jaane ke baad

Saghar Sillodi

aandhiyon aur mauj-e-tufan se guzar jaane ke baad

Saghar Sillodi

MORE BYSaghar Sillodi

    Interesting Fact

    موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلمی طرز پر لکھی ہوئی مقبولِ عام قوالی۔

    āñdhiy.oñ aur mauj-e-tūfāñ se guzar jaane ke ba.ad

    naav Duubī hai mirī dariyā utar jaane ke ba.ad

    dostoñ par is qadar nādāñ bharosa na kar

    saath na deñge ye daulat terī jaane ke ba.ad

    apnī ra.anā.ī pe itnā naaz mat kar ai chāñd

    kaun dekhe tujh ko us but ke sañvar jaane ke ba.ad

    qaid se sayyād ne bulbul ko chhoḌā bhī to kab

    bulbul-e-be-bas ke bāl-o-par katar jaane ke ba.ad

    chāñdī badlī se nikal kar chhup rahā ho jis tarah

    aisā chehra lagtā hai zulfeñ bikhar jaane ke ba.ad

    aaj bhar ke ḳhudā-rā dekh lo 'sāġhar' ko tum

    lauT kar aatā nahīñ hai koī mar jaane ke ba.ad

    aandhiyon aur mauj-e-tufan se guzar jaane ke baad

    naw Dubi hai meri dariya utar jaane ke baad

    doston par is qadar nadan bharosa tu na kar

    sath na denge ye daulat teri jaane ke baad

    apni ranai pe itna naz mat kar tu ai chand

    kaun dekhe tujh ko us but ke sanwar jaane ke baad

    qaid se sayyaad ne bulbul ko chhoDa bhi to kab

    bulbul-e-be-bas ke baal-o-par katar jaane ke baad

    chandi badli se nikal kar chhup raha ho jis tarah

    aisa chehra lagta hai zulfen bikhar jaane ke baad

    aaj ji bhar ke KHuda-ra dekh lo 'saghar' ko tum

    lauT kar aata nahin hai koi mar jaane ke baad

    Source :
    • Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 9)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now