Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sahaara maujon ka le-le ke baDh raha hun main

Bedam Shah Warsi

sahaara maujon ka le-le ke baDh raha hun main

Bedam Shah Warsi

sahārā maujoñ le le ke baḌh rahā huuñ maiñ

safīna jis hai tūfāñ vo nāḳhudā huuñ maiñ

ḳhud apne jalva-e-hastī mubtalā huuñ maiñ

na mudda.ī huuñ kisī na mudda.ā huuñ maiñ

kuchh aage ālam-e-hastī se gūñjtā huuñ maiñ

ki dil se TuuTe hue saaz sadā huuñ maiñ

paḌā huā huuñ jahāñ jis tarah paḌā huuñ maiñ

jo tere dar se na uThe vo naqsh-e-pā huuñ maiñ

jahān-e-ishq meñ go paikar-e-vafā huuñ maiñ

tirī nigāh meñ jab kuchh nahīñ to kyā huuñ maiñ

tajalliyāt tasvīr khīñch kar dil meñ

tasavvurāt duniyā basā rahā huuñ maiñ

junūn-e-ishq nairañgiyāñ are tauba

kabhī ḳhudā huuñ kabhī banda-e-ḳhudā huuñ maiñ

badaltī rahtī hai duniyā mire ḳhayāloñ

kabhī milā huuñ kabhī yaar se judā huuñ maiñ

hayāt-o-maut ke jalve haiñ merī hastī meñ

taġhayyurāt-e-do-ālam aa.inā huuñ maiñ

tirī atā ke tasadduq tire karam ke nisār

ki ab to apnī nazar meñ bhī dūsrā huuñ maiñ

baqā fikr na andesha-e-fanā mujh ko

ta.ayyunāt had se guzar gayā huuñ maiñ

mujhī ko dekh leñ ab tere dekhne vaale

ā.īna hai mirā terā ā.īnā huuñ maiñ

maiñ miT gayā huuñ to phir kis naam hai 'bedam'

vo mil ga.e haiñ to phir kis ko DhūñDhtā huuñ maiñ

sahaara maujon ka le le ke baDh raha hun main

safina jis ka hai tufan wo naKHuda hun main

KHud apne jalwa-e-hasti ka mubtala hun main

na muddai hun kisi ka na muddaa hun main

kuchh aage aalam-e-hasti se gunjta hun main

ki dil se TuTe hue saz ki sada hun main

paDa hua hun jahan jis tarah paDa hun main

jo tere dar se na uThe wo naqsh-e-pa hun main

jahan-e-ishq mein go paikar-e-wafa hun main

teri nigah mein jab kuchh nahin to kya hun main

tajalliyat ki taswir khinch kar dil mein

tasawwuraat ki duniya basa raha hun main

junun-e-ishq ki nairangiyan are tauba

kabhi KHuda hun kabhi banda-e-KHuda hun main

badalti rahti hai duniya mere KHayalon ki

kabhi mila hun kabhi yar se juda hun main

hayat-o-maut ke jalwe hain meri hasti mein

taghayyuraat-e-do-alam ka aaina hun main

teri ata ke tasadduq tere karam ke nisar

ki ab to apni nazar mein bhi dusra hun main

baqa ki fikr na andesha-e-fana mujh ko

tayyunat ki had se guzar gaya hun main

mujhi ko dekh len ab tere dekhne wale

tu aaina hai mera tera aaina hun main

main miT gaya hun to phir kis ka nam hai 'bedam'

wo mil gae hain to phir kis ko DhunDhta hun main

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Haji Faiyaz Ahmad

Haji Faiyaz Ahmad

Source :
  • Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 105)
  • Author : Bedam Shah Warsi
  • Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now