maut thi ya hayat KHatm hui
maut thī yā hayāt ḳhatm huī
chhoḌiye ḳhair baat ḳhatm huī
chhoḌ kar chal diye bisāt-e-jahāñ
roz kī jiit maat ḳhatm huī
har nafs maut kī tamannā thī
kitnī mushkil se raat ḳhatm huī
ek muddat se thī ḳhalish dil meñ
kah chuke baat baat ḳhatm huī
dil ne paayā qarār pahlū meñ
gardish-e-kā.ināt ḳhatm huī
maut tamhīd-e-imtihāñ thī 'saif'
ham samajhte the baat ḳhatm huī
maut thi ya hayat KHatm hui
chhoDiye KHair baat KHatm hui
chhoD kar chal diye bisat-e-jahan
roz ki jit mat KHatm hui
har nafs maut ki tamanna thi
kitni mushkil se raat KHatm hui
ek muddat se thi KHalish dil mein
kah chuke baat baat KHatm hui
dil ne paya qarar pahlu mein
gardish-e-kainat KHatm hui
maut tamhid-e-imtihan thi 'saif'
hum samajhte the baat KHatm hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.