tujh pe qurban ho gaya hai dil
tujh pe qurbān ho gayā hai dil
ab mirī jaan ho gayā hai dil
aap kī itnī dil-dahī par bhī
kyuuñ pareshān ho gayā hai dil
jā ke pahlū se phir nahīñ aayā
kis kā mehmān ho gayā hai dil
jaane kyā is nazar ne samjhāyā
saḳht nādān ho gayā hai dil
'saif' ik yaad ke na hone se
kitnā vīrān ho gayā hai dil
tujh pe qurban ho gaya hai dil
ab meri jaan ho gaya hai dil
aap ki itni dil-dahi par bhi
kyun pareshan ho gaya hai dil
ja ke pahlu se phir nahin aaya
kis ka mehman ho gaya hai dil
jaane kya is nazar ne samjhaya
saKHt nadan ho gaya hai dil
'saif' ek yaad ke na hone se
kitna viran ho gaya hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.