Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

saqi ki har nigah pe bal kha ke pi gaya

Jigar Moradabadi

saqi ki har nigah pe bal kha ke pi gaya

Jigar Moradabadi

saaqī har nigāh pe bal khā ke gayā

lahroñ se kheltā huā lahrā ke gayā

be-kaifiyoñ ke kaif se ghabrā ke gayā

tauba ko tauba taaḌ ke tharrā ke gayā

zāhid ye merī shoḳhī-e-rindāna dekhnā

rahmat ko bātoñ-bātoñ meñ bahlā ke gayā

sarmastī-e-azal mujhe jab yaad aa ga.ī

duniyā-e-e’atibār ko Thukrā ke gayā

āzurdagī-e-kHātir-e-sāqī ko dekh kar

mujh ko ye sharm aa.ī ki sharmā ke gayā

ai rahmat-e-tamām merī har ḳhatā-mu’āf

maiñ intihā-e-shauq meñ ghabrā ke gayā

piitā baġhair izn ye kab thī mirī majāl

dar parda chashm-e-yār shah ke gayā

is jān-e-mai-kada qasam bārhā 'jigar'

kal 'ālam-e-basīt pe maiñ chhā ke gayā

saqi ki har nigah pe bal kha ke pi gaya

lahron se khelta hua lahra ke pi gaya

be-kaifiyon ke kaif se ghabra ke pi gaya

tauba ko tauba taD ke tharra ke pi gaya

zahid ye meri shoKHi-e-rindana dekhna

rahmat ko baaton-baaton mein bahla ke pi gaya

sarmasti-e-azal mujhe jab yaad aa gai

duniya-e-e’atibar ko Thukra ke pi gaya

aazurdagi-e-kHatir-e-saqi ko dekh kar

mujh ko ye sharm aai ki sharma ke pi gaya

ai rahmat-e-tamam meri har KHata-mu’af

main intiha-e-shauq mein ghabra ke pi gaya

pita baghair izn ye kab thi meri majal

dar parda chashm-e-yar ki shah pa ke pi gaya

is jaan-e-mai-kada ki qasam barha 'jigar'

kal 'alam-e-basit pe main chha ke pi gaya

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now