yaad kar kar ke meri wafaen agar lakh aansu bahae to main kya karun
yaad kar kar ke meri wafaen agar lakh aansu bahae to main kya karun
Sardar Shah Fakhri
MORE BYSardar Shah Fakhri
yaad kar kar ke merī vafā.eñ agar laakh aañsū bahā.e to maiñ kyā karūñ
jīte-jī haaye pūchhe na merī ḳharāb janāze pe aa.e to maiñ kyā karūñ
mujh ko ilzām nā-haq na de nāsehā maiñ sharābī nahīñ huuñ ḳhudā kī qasam
maiñ to piine se inkār karatā rahā apne hāthoñ pilā.e to maiñ kyā karūñ
maiñ use inqilāb-e-zamāna kahūñ yā use apnī qismat kā chakkar kahūñ
'umr bharnā par jis ke sajde ka.e vo hī ḳhud bhuul jaa.e to maiñ kyā karūñ
kyā kahūñ jazba-e-dil ko maiñ yā ḳhudā khīñch kar un kī mahfil meñ tū le gayā
kyā ḳhabar baiThe nigāhoñ se vo dil ko mere churā.e to maiñ kyā karūñ
koī hoshiyār hai koī sarshār hai apnī-apnī 'ibādat meñ 'faḳhrī' haiñ sab
shaiḳh takte rahe muñh to maiñ kyā karūñ riñd jannat meñ jaa.e to maiñ kyā karūñ
yaad kar kar ke meri wafaen agar lakh aansu bahae to main kya karun
jite-ji haye puchhe na meri KHarab janaze pe aae to main kya karun
mujh ko ilzam na-haq na de naseha main sharabi nahin hun KHuda ki qasam
main to pine se inkar karata raha apne hathon pilae to main kya karun
main use inqilab-e-zamana kahun ya use apni qismat ka chakkar kahun
'umr bharna par jis ke sajde kae wo hi KHud bhul jae to main kya karun
kya kahun jazba-e-dil ko main ya KHuda khinch kar un ki mahfil mein tu le gaya
kya KHabar baiThe nigahon se wo dil ko mere churae to main kya karun
koi hoshiyar hai koi sarshaar hai apni-apni 'ibaadat mein 'faKHri' hain sab
shaiKH takte rahe munh to main kya karun rind jannat mein jae to main kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.