sau bar hui dil ki buri tarah tabahi
sau baar huī dil kī burī tarah tabāhī
ma.asūm hai phir bhī tirī duzdīda-nigāhī
tū ḳhāna-bar-andāz bane yā mirā dam-sāz
hai terī hukūmat tirā sikka tirī shāhī
tuune bhī agar pher lī chashm karam apnī
ham jaise gunāhgār kahāñ jaa.eñ ilāhī
ehsās kī duniyā meñ huuñ kyuuñ jī na bhar aa.e
dekhī nahīñ jaatī tire bandoñ kī tabāhī
taqdīr-e-mohabbat bhī kahāñ jā ke laḌī hai
maiñ banda-e-pur-aib vo mahbūb-e-ilāhī
yuuñ Dhal ga.ī marzī mirī manshā pe kisī ke
jo baat mere dil meñ Thanī us ne vo chāhī
Dartā huuñ maiñ jab zohd pe karatā hai koī naaz
lutiyā na Dubo de kahīñ nā-karda gunāhī
saaqī tirī yaad aate hī kho detī hai mujh ko
mastāna-ravish mast-adā mast-nigāhī
ye ishq kī manzil hai qadam phūñk ke rakhiye
'kāmil' hai yañh ek tabāhī sī tabāhī
sau bar hui dil ki buri tarah tabahi
masum hai phir bhi teri duzdida-nigahi
tu KHana-bar-andaz bane ya mera dam-saz
hai teri hukumat tera sikka teri shahi
tune bhi agar pher li chashm karam apni
hum jaise gunahgar kahan jaen ilahi
ehsas ki duniya mein hun kyun ji na bhar aae
dekhi nahin jati tere bandon ki tabahi
taqdir-e-mohabbat bhi kahan ja ke laDi hai
main banda-e-pur-aib wo mahbub-e-ilahi
yun Dhal gai marzi meri mansha pe kisi ke
jo baat mere dil mein Thani us ne wo chahi
Darta hun main jab zohd pe karata hai koi naz
lutiya na Dubo de kahin na-karda gunahi
saqi teri yaad aate hi kho deti hai mujh ko
mastana-rawish mast-ada mast-nigahi
ye ishq ki manzil hai qadam phunk ke rakhiye
'kaamil' hai yanh ek tabahi si tabahi
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 268)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.