tul-e-rah-e-hayat se ghabra raha hun main
tūl-e-rah-e-hayāt se ghabrā rahā huuñ maiñ
ghabrā rahā huuñ aur chalā jā rahā huuñ maiñ
paiġhām rif.atoñ ke jo pahuñchā rahā huuñ maiñ
duniyā pe āsmāñ kī tarah chhā rahā huuñ maiñ
kuchh yuuñ bhī hai ki fitrat-e-ġham hai sukūñ pasand
kuchh ye bhī hai ki zabt ka.e jā rahā huuñ maiñ
qaid-e-junūñ meñ rishta-e-pā-e-kHayā ko
suljhā rahā huuñ aur phir uljhā rahā huuñ maiñ
aa aur dekh mahviyat-e-be-kHudī mirī
tujh se bhī be-niyāz huā jā rahā huuñ maiñ
chhūtī nahīñ mujhe par-e-jibrīl kī havā
ye kin bulandiyoñ pe uḌā jā rahā huuñ maiñ
ab vo mazāq-e-shāna-o-gesū nahīñ rahā
ab to ḳham-e-ḳhayāl ko suljhā rahā huuñ maiñ
terī sadā pe kaan zabāñ terī tarjumāñ
jo giit sun rahā huuñ vahī gā rahā huuñ maiñ
kyā ab bhī shak tujhe mirī paiġhambarī meñ hai
terā payām ruuh ko pahuñchā rahā huuñ maiñ
shākī huuñ husn se na mohabbat se sargirāñ
kaif-e-vafā ba-qadr-e-vafā pā rahā huuñ maiñ
markaz pe apne dhuup simaTtī hai jis tarah
yuuñ rafta rafta tere qarīb aa rahā huuñ maiñ
manzūr hai mujhe kashish-e-husn se shikast
le aaj tujh maiñ jazb huā jā rahā huuñ maiñ
tanqīd kar rahā huuñ mizāj-e-jamāl par
kāñToñ meñ bū-e-gul ko liye jā rahā huuñ maiñ
phir de rahā huuñ quvvat-e-vus.at ḳhayāl ko
simTī huī bisāt ko phailā rahā huuñ maiñ
tāj-o-kulāh-o-takHt pe merī nazar kahāñ
ab apne hī vajūd ko Thukrā rahā huuñ maiñ
hai husn ik jhalak mere ishq-e-tamām kī
apnī hī ik adā pe miTā jā rahā huuñ maiñ
uThtā huuñ mai-kade se aur aaj apne saath
jām-o-sharāb ko bhī liye jā rahā huuñ maiñ
kyuuñ mere tark-e-bāda pe tujh ko yaqīñ nahīñ
saaqī tire laboñ kī qasam khā rahā huuñ maiñ
tahlīl ho rahī hai mirī ruuh har nafas
ta.amīr-e-kā.enāt meñ kaam aa rahā huuñ maiñ
phir de rahā huuñ fitrat-e-insāñ ko dars-e-nāz
sar āstāñ-e-husn se uThvā rahā huuñ maiñ
dastam ba-ḳhair haath meñ hai zor-e-inqalāb
zarroñ ko āftāb se Takrā rahā huuñ maiñ
'sīmāb' kis ne arsh se āvāz dī mujhe
kah do ki intizār kare aa rahā huuñ maiñ
tul-e-rah-e-hayat se ghabra raha hun main
ghabra raha hun aur chala ja raha hun main
paigham rifaton ke jo pahuncha raha hun main
duniya pe aasman ki tarah chha raha hun main
kuchh yun bhi hai ki fitrat-e-gham hai sukun pasand
kuchh ye bhi hai ki zabt kae ja raha hun main
qaid-e-junun mein rishta-e-pa-e-kHaya ko
suljha raha hun aur phir uljha raha hun main
aa aur dekh mahwiyat-e-be-kHudi meri
tujh se bhi be-niyaz hua ja raha hun main
chhuti nahin mujhe par-e-jibril ki hawa
ye kin bulandiyon pe uDa ja raha hun main
ab wo mazaq-e-shana-o-gesu nahin raha
ab to KHam-e-KHayal ko suljha raha hun main
teri sada pe kan zaban teri tarjuman
jo git sun raha hun wahi ga raha hun main
kya ab bhi shak tujhe meri paighambari mein hai
tera payam ruh ko pahuncha raha hun main
shaki hun husn se na mohabbat se sargiran
kaif-e-wafa ba-qadr-e-wafa pa raha hun main
markaz pe apne dhup simaTti hai jis tarah
yun rafta rafta tere qarib aa raha hun main
manzur hai mujhe kashish-e-husn se shikast
le aaj tujh main jazb hua ja raha hun main
tanqid kar raha hun mizaj-e-jamal par
kanTon mein bu-e-gul ko liye ja raha hun main
phir de raha hun quwwat-e-wusat KHayal ko
simTi hui bisat ko phaila raha hun main
taj-o-kulah-o-takHt pe meri nazar kahan
ab apne hi wajud ko Thukra raha hun main
hai husn ek jhalak mere ishq-e-tamam ki
apni hi ek ada pe miTa ja raha hun main
uThta hun mai-kade se aur aaj apne sath
jam-o-sharab ko bhi liye ja raha hun main
kyun mere tark-e-baada pe tujh ko yaqin nahin
saqi tere labon ki qasam kha raha hun main
tahlil ho rahi hai meri ruh har nafas
tamir-e-kaenat mein kaam aa raha hun main
phir de raha hun fitrat-e-insan ko dars-e-naz
sar aastan-e-husn se uThwa raha hun main
dastam ba-KHair hath mein hai zor-e-inqalab
zarron ko aaftab se Takra raha hun main
'simab' kis ne arsh se aawaz di mujhe
kah do ki intizar kare aa raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.