duniya hai ye andaz-e-shabistan koi din aur
duniyā hai ye andāz-e-shabistāñ koī din aur
achchhā to phir ik ḳhvāb-e-pareshāñ koī din aur
hai fasl-e-shaguft-e-gul-o-bustāñ koī din aur
is rut meñ to rah jā.iye mehmāñ koī din aur
hotā na koī dard kā pursāñ koī din aur
rahtā ġham-e-pinhāñ ġham-e-pinhāñ koī din aur
gardish hī kī Thahrī to do-a.alam meñ phiruñgā
karatā huuñ tavāf-e-dar-e-jānāñ koī din aur
ik din tumheñ dekhā thā dhundalke meñ sahar ke
aisā kabhī aayā na daraḳhshāñ koī din aur
'sīmāb' pas-e-parda-e-ā.īna-e-hastī
chhup chhup ke vo kar leñ mujhe hairāñ koī din aur
duniya hai ye andaz-e-shabistan koi din aur
achchha to phir ek KHwab-e-pareshan koi din aur
hai fasl-e-shaguft-e-gul-o-bustan koi din aur
is rut mein to rah jaiye mehman koi din aur
hota na koi dard ka pursan koi din aur
rahta gham-e-pinhan gham-e-pinhan koi din aur
gardish hi ki Thahri to do-alam mein phirunga
karata hun tawaf-e-dar-e-jaanan koi din aur
ek din tumhein dekha tha dhundalke mein sahar ke
aisa kabhi aaya na daraKHshan koi din aur
'simab' pas-e-parda-e-aina-e-hasti
chhup chhup ke wo kar len mujhe hairan koi din aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.