najat-e-daimi hai husn walon ki nigahon mein
najāt-e-dā.imī hai husn vāloñ kī nigāhoñ meñ
jise aanā ho ā-jā.e mohabbat kī panāhoñ meñ
do-a.alam ko liye phirte haiñ jo apnī panāhoñ meñ
vo jalve kyā samā sakte haiñ insāñ kī nigāhoñ meñ
nazar vaalā nahīñ mujh sā tumhārī jalva-gāhoñ meñ
maiñ hairat ko butoñ kī pesh karatā huuñ gavāhoñ meñ
jhalak us rāz-e-sar-basta kī hai mere gunāhoñ meñ
chhupā rakhā thā jis ko sūfiyoñ ne ḳhānqāhoñ meñ
na hotā ehtirām-e-ishq agar un kī nigāhoñ meñ
to kyuuñ ye ehtimām-e-husn hotā kaj-kulāhoñ meñ
ham ai 'sīmāb' vo masnad-nashīn-e-mulak-e-ma.anī haiñ
hamārā zikr hotā hai adab se bādshāhoñ meñ
najat-e-daimi hai husn walon ki nigahon mein
jise aana ho aa-jae mohabbat ki panahon mein
do-alam ko liye phirte hain jo apni panahon mein
wo jalwe kya sama sakte hain insan ki nigahon mein
nazar wala nahin mujh sa tumhaari jalwa-gahon mein
main hairat ko buton ki pesh karata hun gawahon mein
jhalak us raaz-e-sar-basta ki hai mere gunahon mein
chhupa rakha tha jis ko sufiyon ne KHanqahon mein
na hota ehtiram-e-ishq agar un ki nigahon mein
to kyun ye ehtimam-e-husn hota kaj-kulahon mein
hum ai 'simab' wo masnad-nashin-e-mulak-e-mani hain
hamara zikr hota hai adab se baadshahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.