kahan hain intiha-e-zauq-e-kaamil dekhne wale
kahāñ haiñ intihā-e-zauq-e-kāmil dekhne vaale
hameñ dekheñ ki ham haiñ husn-e-bātil dekhne vaale
haiñ aslī jalva-e-diniyā-e-bātil dekhne vaale
mil kar rañg-e-vīrānī-o-mahfil dekhne vaale
nazar rakhte nahīñ pā-e-talab kī nā-rasā.ī par
ahal ke haath meñ dāmān-e-manzil dekhne vaale
na jaane kyā ma.aal aayā nazar mashq-e-tasavvur kā
phaḌak uThe jamāl-o-jalva-e-dil dekhne vaale
zarā se dil meñ ai 'sīmāb' ik duniyā-e-irfāñ hai
mujhe hairat se takte haiñ mirā dil dekhne vaale
kahan hain intiha-e-zauq-e-kaamil dekhne wale
hamein dekhen ki hum hain husn-e-baatil dekhne wale
hain asli jalwa-e-diniya-e-baatil dekhne wale
mil kar rang-e-virani-o-mahfil dekhne wale
nazar rakhte nahin pa-e-talab ki na-rasai par
ahal ke hath mein daman-e-manzil dekhne wale
na jaane kya maal aaya nazar mashq-e-tasawwur ka
phaDak uThe jamal-o-jalwa-e-dil dekhne wale
zara se dil mein ai 'simab' ek duniya-e-irfan hai
mujhe hairat se takte hain mera dil dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.