fareb-e-agahi se wajd mein hai raaz-dan mera
fareb-e-āgahī se vajd meñ hai rāz-dāñ merā
ki jaise us ke dil kī choT hai dard-e-nihāñ merā
karūñ phir arz-e-jalva hausla itnā kahāñ merā
farāz-e-tūr par ho to chukā hai imtihāñ merā
maiñ kyuuñ sub.h-e-azal se qasd karatā shām-e-hastī kā
na thā ma.alūm itnā vaqt hogā rā.egāñ merā
maiñ apnī jaan dūñgā husn se ahd-e-vafā le kar
ajal pahle se sun rakhe ki saudā hai garāñ merā
nahīñ ehsās ai 'sīmāb' mujh ko ahd-e-pīrī kā
ḳhudā rakhe abhī to jazba-e-dil hai javāñ merā
fareb-e-agahi se wajd mein hai raaz-dan mera
ki jaise us ke dil ki choT hai dard-e-nihan mera
karun phir arz-e-jalwa hausla itna kahan mera
faraaz-e-tur par ho to chuka hai imtihan mera
main kyun subh-e-azal se qasd karata sham-e-hasti ka
na tha malum itna waqt hoga raegan mera
main apni jaan dunga husn se ahd-e-wafa le kar
ajal pahle se sun rakhe ki sauda hai garan mera
nahin ehsas ai 'simab' mujh ko ahd-e-piri ka
KHuda rakhe abhi to jazba-e-dil hai jawan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.