wo umangen wo ha-o-hu hi nahin
vo umañgeñ vo hā-o-hū hī nahīñ
dil kahāñ ab ki aarzū hī nahīñ
bāġh-e-a.alam kā inqalāb na pūchh
ab vo pahlā sā rañg-o-bū hī nahīñ
kījiye kyā tasavvur-ārā.ī
koī tasvīr rū-ba-rū hī nahīñ
dekhtā huuñ ki aaj ashkoñ meñ
dil ke TukḌe bhī haiñ lahū hī nahīñ
shauq se vo hijāb farmā.eñ
ab mujhe ḳhabt-e-justujū hī nahīñ
ye dil-e-nā-murād kā a.alam
aur sab kuchh hile aarzū hī nahīñ
un se shikva fuzūl hai 'sīmāb'
qābil-e-iltifāt tū hī nahīñ
wo umangen wo ha-o-hu hi nahin
dil kahan ab ki aarzu hi nahin
bagh-e-alam ka inqalab na puchh
ab wo pahla sa rang-o-bu hi nahin
kijiye kya tasawwur-arai
koi taswir ru-ba-ru hi nahin
dekhta hun ki aaj ashkon mein
dil ke TukDe bhi hain lahu hi nahin
shauq se wo hijab farmaen
ab mujhe KHabt-e-justuju hi nahin
ye dil-e-na-murad ka aalam
aur sab kuchh hile aarzu hi nahin
un se shikwa fuzul hai 'simab'
qabil-e-iltifat tu hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.