faza paida nahin karti kahin diwana barson se
fazā paidā nahīñ kartī kahīñ dīvāna barsoñ se
nahīñ uThtā koī paiġhambar-e-vīrāna barsoñ se
nazar hai parda-dār-e-jalva-e-jānā barsoñ se
mirī nigrāniyoñ meñ hai tajallī-ḳhāna barsoñ se
vahāñ taskīn-e-ḳhātir chaar din se husn-e-āsūda
yahāñ āshob-e-pahlū ik dil-e-dīvāna barsoñ se
ta.ajjub hai jo duniyā ab bhī mai-ḳhāna na ban jaa.e
sharāb-e-ishq hai paimāna-dar-paimāna barsoñ se
mizāj-e-husn meñ tabdīliyāñ paidā nahīñ hotīñ
mohabbat gā rahī hai ek hī afsāna barsoñ se
guzargāh-e-vafā meñ sar-ba-kaf aanā paḌā mujh ko
pukāre jā rahī thī himmat-e-mardāna barsoñ se
ġhulāmī ishq kī 'sīmāb' baaqī rah nahīñ saktī
mujhe uksā rahī hai himmat-e-mardāna barsoñ se
faza paida nahin karti kahin diwana barson se
nahin uThta koi paighambar-e-virana barson se
nazar hai parda-dar-e-jalwa-e-jaana barson se
meri nigraniyon mein hai tajalli-KHana barson se
wahan taskin-e-KHatir chaar din se husn-e-asuda
yahan aashob-e-pahlu ek dil-e-diwana barson se
tajjub hai jo duniya ab bhi mai-KHana na ban jae
sharab-e-ishq hai paimana-dar-paimana barson se
mizaj-e-husn mein tabdiliyan paida nahin hotin
mohabbat ga rahi hai ek hi afsana barson se
guzargah-e-wafa mein sar-ba-kaf aana paDa mujh ko
pukare ja rahi thi himmat-e-mardana barson se
ghulami ishq ki 'simab' baqi rah nahin sakti
mujhe uksa rahi hai himmat-e-mardana barson se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.