in shirk ki hadon se use dur ja ke dekh
in shirk kī hadoñ se use duur jā ke dekh
dil se chhupā ke dekh nazar se bachā ke dekh
hāl-e-tabāh-e-ishq na yuuñ muskurā ke dekh
tevar badal na jaa.eñ mizāj-e-vafā ke dekh
tere nasīb meñ nahīñ ye sāz-o-barg-e-ishq
mere tan-e-figār pe TukḌe qabā ke dekh
ka.aba bhī dil banā tirā dair-o-kunisht bhī
sab kuchh to ban chukā use ab dil banā ke dekh
sunte haiñ ilm-o-fan kī vahāñ qadr hai abhī
'sīmāb' ek baar dakan tū bhī jā ke dekh
in shirk ki hadon se use dur ja ke dekh
dil se chhupa ke dekh nazar se bacha ke dekh
haal-e-tabah-e-ishq na yun muskura ke dekh
tewar badal na jaen mizaj-e-wafa ke dekh
tere nasib mein nahin ye saz-o-barg-e-ishq
mere tan-e-figar pe TukDe qaba ke dekh
kaba bhi dil bana tera dair-o-kunisht bhi
sab kuchh to ban chuka use ab dil bana ke dekh
sunte hain ilm-o-fan ki wahan qadr hai abhi
'simab' ek bar dakan tu bhi ja ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.