bahr-jalwa na ruswa kar mazaq-e-chashm-e-hairan ko
bahr-jalwa na ruswa kar mazaq-e-chashm-e-hairan ko
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
bahr-jalva na rusvā kar mazāq-e-chashm-e-hairāñ ko
yahī bāteñ nigāhoñ se girā detī haiñ insāñ ko
junūñ se rabt-e-rūhānī hai dāmān-o-garebāñ ko
ki maiñ har taar meñ mahsūs karatā huuñ rag-e-jāñ ko
banā rakhā hai us ne sho.abada nafs-o-dil-o-jāñ ko
baḌā aarif hai vo jo toḌ de is dām-e-pinhāñ ko
kamāl-e-ḳhastagī se ruuh kī takmīl hotī hai
mohabbat meñ bigaḌnā bhī banā detā hai insāñ ko
jo haiñ nau-vāridān-e-sahn-e-gulshan un ko dāvat de
na chheḌ ai fasl-e-gul dīvāna-e-sar-dar-garebāñ ko
mubārak tujh ko apnī ḳhud-ravī lekin ye suntā jā
ki duniyā apne raste par lagā letī hai insāñ ko
na pahchāne koī us ko yahī pahchān hai us kī
to phir ab kyā kahūñ maiñ e'tibār-e-ahal-e-irfāñ ko
sukūñ kī justujū meñ kyuuñ hai ai 'sīmāb' sargardāñ
kahīñ āsūdgī miltī nahīñ un ke pareshāñ ko
bahr-jalwa na ruswa kar mazaq-e-chashm-e-hairan ko
yahi baaten nigahon se gira deti hain insan ko
junun se rabt-e-ruhani hai daman-o-gareban ko
ki main har tar mein mahsus karata hun rag-e-jaan ko
bana rakha hai us ne shoabada nafs-o-dil-o-jaan ko
baDa aarif hai wo jo toD de is dam-e-pinhan ko
kamal-e-KHastagi se ruh ki takmil hoti hai
mohabbat mein bigaDna bhi bana deta hai insan ko
jo hain nau-waridan-e-sahn-e-gulshan un ko dawat de
na chheD ai fasl-e-gul diwana-e-sar-dar-gareban ko
mubarak tujh ko apni KHud-rawi lekin ye sunta ja
ki duniya apne raste par laga leti hai insan ko
na pahchane koi us ko yahi pahchan hai us ki
to phir ab kya kahun main e'tibar-e-ahal-e-irfan ko
sukun ki justuju mein kyun hai ai 'simab' sargardan
kahin aasudgi milti nahin un ke pareshan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.