kyun na mayus mera zauq-e-farawan ho jae
kyuuñ na māyūs mirā zauq-e-farāvāñ ho jaa.e
aadmī kī hai ye me.arāj ki insāñ ho jaa.e
ālam-e-quds yahī ālam-e-imkāñ ho jaa.e
kaash insān ko insān kā irfāñ ho jaa.e
aish-e-duniyā kī taraf us kī nazar kyuuñ uTThe
ek aañsū hī jise daulat-e-dāmāñ ho jaa.e
sādgī husn kī mumkin hai pareshāñ na kare
ishq kī shaan yahī hai ki pareshāñ ho jaa.e
maiñ bulā.ūñ to ho tañg us pe bisāt-e-kaunain
aur ḳhud chāhe to mahfūz-e-rag-e-jāñ ho jaa.e
dil kā anjām baharhāl fanā hai 'sīmāb'
hai jo bujhne meñ takalluf to farozāñ ho jaa.e
kyun na mayus mera zauq-e-farawan ho jae
aadmi ki hai ye mearaj ki insan ho jae
aalam-e-quds yahi aalam-e-imkan ho jae
kash insan ko insan ka irfan ho jae
aish-e-duniya ki taraf us ki nazar kyun uTThe
ek aansu hi jise daulat-e-daman ho jae
sadgi husn ki mumkin hai pareshan na kare
ishq ki shan yahi hai ki pareshan ho jae
main bulaun to ho tang us pe bisat-e-kaunain
aur KHud chahe to mahfuz-e-rag-e-jaan ho jae
dil ka anjam baharhaal fana hai 'simab'
hai jo bujhne mein takalluf to farozan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.