Sufinama

junun wajh-e-shikast-e-rang-e-mahfil hota jata hai

Seemab Akbarabadi

junun wajh-e-shikast-e-rang-e-mahfil hota jata hai

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    junūñ vaj.h-e-shikast-e-rañg-e-mahfil hotā jaatā hai

    zamāna apne mustaqbil meñ dāḳhil hotā jaatā hai

    rihā honā ba-qaid-e-zabt mushkil hotā jaatā hai

    ki naala phir ham-āhañg-e-salāsil hotā jaatā hai

    yaqīn inkishāf-e-rāz-bātil hotā jaatā hai

    ki merā har qadam ab mīl-e-manzil hotā jaatā hai

    jahāñ meñ phailī jaatī hai ḳhākistar mere dil

    jahāñ zarra-zarra sāhab-e-dil hotā jaatā hai

    jise maiñ shām-e-ġhurbat ik shugūn-e-nahs samjhā thā

    vo taarā rahnumā-e-sub.h-e-manzil hotā jaatā hai

    udāsī yaas ban kar chhā rahī hai saare a.alam par

    kisī dil ho ab ma.anan mirā dil hotā jaatā hai

    niyāz-e-ishq mustahsan sahī phir bhī ġhulāmī hai

    ab is dastūr se ḳhud husn bad-dil hotā jaatā hai

    ravā rakhtā hai dānista hurūf-e-sāqit-o-zā.id

    ab apne nuqs meñ 'sīmāb' kāmil hotā jaatā hai

    junun wajh-e-shikast-e-rang-e-mahfil hota jata hai

    zamana apne mustaqbil mein daKHil hota jata hai

    riha hona ba-qaid-e-zabt mushkil hota jata hai

    ki nala phir ham-ahang-e-salasil hota jata hai

    yaqin inkishaf-e-raaz-baatil hota jata hai

    ki mera har qadam ab mil-e-manzil hota jata hai

    jahan mein phaili jati hai KHakistar mere dil ki

    jahan ka zarra-zarra sahab-e-dil hota jata hai

    jise main sham-e-ghurbat ek shugun-e-nahs samjha tha

    wo tara rahnuma-e-subh-e-manzil hota jata hai

    udasi yas ban kar chha rahi hai sare aalam par

    kisi ka dil ho ab manan mera dil hota jata hai

    niyaz-e-ishq mustahsan sahi phir bhi ghulami hai

    ab is dastur se KHud husn bad-dil hota jata hai

    rawa rakhta hai danista huruf-e-saqit-o-zaid

    ab apne nuqs mein 'simab' kaamil hota jata hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now