aap ke gham se faizyab ishrat-e-zindagi nahin
aap ke ġham se faizyāb 'ishrat-e-zindagī nahīñ
zindagī aap ke supurd ye mere kaam kī nahīñ
aish-o-nishāt-e-dahr kī mere liye kamī nahīñ
aish-o-nishāt par magar merī nigāh bhī nahīñ
uzr-e-gunāh kyuuñ karūñ kyā mujhe āgahī nahīñ
tark aur iḳhtiyār par qudrate-ādmī nahīñ
hasrat yak nigāh kī kyā kahūñ qadr kyā huī
maiñ ne kahā kabhī kabhī us ne kahā kabhī nahīñ
rahguzr-e-jahāñ meñ hai mī-guzrad pe kār-band
shikva-e-jabr-o-ikHtiyār mashrab-e-vārsī nahīñ
aap ke gham se faizyab 'ishrat-e-zindagi nahin
zindagi aap ke supurd ye mere kaam ki nahin
aish-o-nishat-e-dahr ki mere liye kami nahin
aish-o-nishat par magar meri nigah bhi nahin
uzr-e-gunah kyun karun kya mujhe aagahi nahin
tark aur iKHtiyar par qudrate-admi nahin
hasrat yak nigah ki kya kahun qadr kya hui
main ne kaha kabhi kabhi us ne kaha kabhi nahin
rahguzr-e-jahan mein hai mi-guzrad pe kar-band
shikwa-e-jabr-o-ikHtiyar mashrab-e-warsi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.