ho na shikar-e-be-dili lazzat-e-gham uThae ja
ho na shikār-e-be-dilī lazzat-e-ġham uThā.e jā
dil na banā nahīñ sahī dard ko dil banā.e jā
vo bhī atā-e-dost hai ye bhī usī kī den hai
aish meñ qahqahe lagā taish meñ muskurā.e jā
dast-e-talab nahīñ rasā dast-e-karam to hai darāz
mil hī rahegā kuchh na kuchh haath yūñhī baḌhā.e jā
saare jahāñ ke falsafe hech haiñ us ke sāmne
ishq kā imtihāñ na le aql ko āzmā.e jā
aam jahāñ maiñ 'vārsī' ho na mazāq-e-āgahī
rāz-e-niyāz-e-āshiqī faash na kar chhupā.e jā
ho na shikar-e-be-dili lazzat-e-gham uThae ja
dil na bana nahin sahi dard ko dil banae ja
wo bhi ata-e-dost hai ye bhi usi ki den hai
aish mein qahqahe laga taish mein muskurae ja
dast-e-talab nahin rasa dast-e-karam to hai daraaz
mil hi rahega kuchh na kuchh hath yunhi baDhae ja
sare jahan ke falsafe hech hain us ke samne
ishq ka imtihan na le aql ko aazmae ja
aam jahan main 'warsi' ho na mazaq-e-agahi
raaz-e-niyaz-e-ashiqi fash na kar chhupae ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.