jawani KHwab ki si baat hai duniya-e-fani mein
javānī ḳhvāb kī sī baat hai duniyā-e-fānī meñ
magar ye baat kis ko yaad rahtī hai javānī meñ
zamīñ letī hai añgḌā.ī fazā-e-āsmānī meñ
mohabbat jab ḳhudā kā naam letī hai javānī meñ
sukūñ hai kuchh isī se iztirāb-e-zindagānī meñ
vagarna zāt-e-bāqī paikar-e-insān-e-fānī meñ
Thahar jaatā hai chalte chalte yuuñ afsāna-e-hastī
ki jaise kahte kahte bhuul paḌ jaa.e kahānī meñ
kahī hai ye ġhazal 'sīmāb' aqd-e-'dard' par maiñ ne
nihāñ rañgīnī-o-tamkīñ hai alfāz-o-ma.ānī meñ
jawani KHwab ki si baat hai duniya-e-fani mein
magar ye baat kis ko yaad rahti hai jawani mein
zamin leti hai angDai faza-e-asmani mein
mohabbat jab KHuda ka nam leti hai jawani mein
sukun hai kuchh isi se iztirab-e-zindagani mein
wagarna zat-e-baqi paikar-e-insan-e-fani mein
Thahar jata hai chalte chalte yun afsana-e-hasti
ki jaise kahte kahte bhul paD jae kahani mein
kahi hai ye ghazal 'simab' aqd-e-'dard' par main ne
nihan rangini-o-tamkin hai alfaz-o-maani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.